Anpadh 1961 Hindi Movie All Songs Lyrics

Aap Ki Nazron Ne Samjha

Aap Ki Nazron Ne Samjha Song Lyrics

Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha..

Ji hamein manzoor hai, aapka yeh faisla
Ji hamein manzoor hai, aapka yeh faisla
Keh rahi hai har nazar
Banda parvar shukriya..
Hans ke apni zindagi mein
Kar liya shaamil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha..

Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Aapki manzil hoon main
Meri manzil aap hain
Kyon main toofan se daroon
Mere sahil aap hain
Koi toofano se keh de
Mil gaya sahil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha..

Pad gayi dil par meri
Aap ki parchhaaiyaan
Pad gayi dil par meri
Aap ki parchhaaiyaan
Har taraf bajne lagin
Saikadon shehnaaiyaan
Do jahaan ki aaj khushiyaan
Ho gayin haasil mujhe

Aap ki nazron ne samjha
Pyaar ke kaabil mujhe
Dil ki aye dhadkan thehar ja
Mil gayi manzil mujhe
Aap ki nazron ne samjha..

Track Info*

Track Name –Aap Ki Nazron Ne Samjha
Artist –
Lyrics –
Raja Mehdi Ali Khan
Music –Madan Mohan
Movie –
Song Label –Saregama Music
Release Date –1962