Bahut haseen hain tumhari aankhen
Kaho to main inse pyaar kar loon
Bada hai dhokha teri nazar mein
Main kis tarah aitbar kar loon
Bahut haseen hain tumhari aankhen
Kaho to main inse pyaar kar loon
Yeh bheeni bheeni hawa ki khushboo
Mehak hai tere hi tan badan ki
Yeh bheeni bheeni hawa ki khushboo
Mehak hai tere hi tan badan ki
Sambhal ke bolo chatak na jaaye
Koi naveli kali chaman ki
Meri kali tum
Meri kali tum agar kaho to
Main zindagi ko bahaar kar loon
Bada hai dhokha teri nazar mein
Main kis tarah aitbar kar loon
Hazaar baatein hain aisi dil mein
Jo ruk gayi hain zuban pe aake
Hazaar baatein hain aisi dil mein
Jo ruk gayi hain zuban pe aake
Jo baat lab pe machal rahi hai
Woh aaj keh doon nazar mila ke
Kisi ki hoke
Kisi ki hoke yeh chain kho ke
Main dil ko kyun bekarar kar loon
Bahut haseen hain tumhari aankhen
Kaho to main inse pyaar kar loon
Gino na ab dhadkanein hamari
Na aur lo imtehan hamara
Gino na ab dhadkanein hamari
Na aur lo imtehan hamara
Ise na samjho tum aazmaaish
Yehi to ulfat ka hai ishara
Agar yeh sach hai
Agar yeh sach hai to marte dam tak
Main aapka intezar kar loon
Bada hai dhokha teri nazar mein
Main kis tarah aitbar kar loon
Bahut haseen hain tumhari aankhen
Kaho to main inse pyaar kar loon
- Song Name – Bahot Haseen Hai Tumhari
- Singer – Mohammad Rafi, Suman Kalyanpur
- Lyrics – Prem Dhawan
- Music – Chitragupta
- Movie – Aadhi Raat Ke Baad
- Song Label – Saregama
- Release Date – 1965
[/dt_vc_list]