Neend kabhi rehti thi aankhon mein
Ab rehte hain saanwariya
Ab rehte hain saanwariya
Chain kabhi rehta tha is dil mein
Ab rehte hain saanwariya
Ab rehte hain saanwariya
Log mujhse kahein dekho udhar nikla hai chaand
Kaun dekhe udhar jaane kidhar nikla hai chaand
Chaand kabhi rehta tha nazron mein
Ab rehte hain saanwariya
Ab rehte hain saanwariya
Jhooth boli pawan kehne lagi aayi bahaar
Hum baagon mein gaye
Dekha wahan pyar hi pyar
Phool rehte honge chaman mein kabhi
Ab rehte hain saanwariya
Ab rehte hain saanwariya
Baat pehle thi aur toofan se darte the hum
Baat ab aur hai, ab hai hamein kaahe ka gham
Sath kabhi maajhi the sang lekin
Ab rehte hain.. saanwariya
Ab rehte hain saanwariya
Neend kabhi rehti thi aankhon mein
Ab rehte hain saanwariya
Ab rehte hain saanwariya
- Song Name – Neend Kabhi Rehti Thi Ankhon Mein
- Singer – Lata Mangeshkar
- Lyrics – Anand Bakshi
- Music – Laxmikant Pyarelal
- Movie – Aasra
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1966
[/dt_vc_list]