Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Koi aata hai
Yoon tadap ke na tadpa mujhe baar baar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Uske daaman ki kushbu hawaon mein hai
Uske kadmon ki aahat fazaon mein hai
Uske daaman ki kushbu hawaon mein hai
Uske kadmon ki aahat fazaon mein hai
Mujhko karne de, karne de solah singaar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Mujhko chhoone lagin uski parchhaiyan
Dil ke nazdeek bajti hain shehnaiyan
Mujhko chhoone lagin uski parchhaiyan
Dil ke nazdeek bajti hain shehnaiyan
Mere sapnon ke aangan mein gata hai pyaar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Roothkar pehle jee bhar sataaungi main
Jab manaayenge woh maan jaaoongi main
Roothkar pehle jee bhar sataaungi main
Jab manaayenge woh maan jaaoongi main
Dil pe rehta hai aise mein kab ikhtiaar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
Koi aata hai
Yoon tadap ke na tadpa mujhe baar baar
Koi aata hai
Dheere dheere machal aye dil-e-beqarar
- Song Name – Dheere Dheere Machal
- Singer – Lata Mangeshkar
- Lyrics – Kaifi Azmi
- Music – Hemant Kumar
- Movie – Anupama
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1966
[/dt_vc_list]