Raaz-e-dil unse chupaya na gaya
Raaz-e-dil unse chupaya na gaya
Pyar ki aag kuchh aisi bhadki
Pyar ki aag kuchh aisi bhadki
Ek shola bhi dabaya na gaya
Ek shola bhi dabaya na gaya
Raaz-e-dil unse chupaya na gaya
Pehle-pehle to mujhe woh samajh bhi na sake
Dil ko tadpaate rahe, mujhko tarsaate rahe
Aankh se aankh kai baar mili
Aankh se aankh kai baar mili
Dil se dil phir bhi milaya na gaya
Pyar ki aag kuchh aisi bhadki
Ek shola bhi dabaya na gaya
Raaz-e-dil unse chupaya na gaya
Mujhko pehchan ke woh, dard-e-dil jaan ke woh
Kuchh pareshan se hain
Kuchh pasheman se hain
Itne sharmaye huye hain humse
Itne sharmaye huye hain humse
Sar jhukaya to uthaya na gaya
Pyar ki aag kuchh aisi bhadki
Ek shola bhi dabaya na gaya
Raaz-e-dil unse chupaya na gaya
Aankh milte hi jhuki, baat honthon pe ruki
Berukhi pyar bani, jeet bhi haar bani
Kar gai kaam mohabbat ki nazar
Kar gai kaam mohabbat ki nazar
Unse daaman bhi bachaya na gaya
Pyar ki aag kuchh aisi bhadki
Pyar ki aag kuchh aisi bhadki
Ek shola bhi dabaya na gaya
Raaz-e-dil unse chupaya na gaya
- Song Name – Raaz-E-Dil Unse Chhupaya Na Gaya
- Singer – Mohammed Rafi
- Lyrics – Jan Nisar Akhtar
- Music – Ravi
- Movie – Apna Banake Dekho (1962)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1962
[/dt_vc_list]