Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai

Barasta hai jo aankhon se woh saavan yaad karta hai

Kabhi hum saath guzre jin sajeeli raahguzaron se
Fiza ke bhes mein girte hain ab patte chanaron se
Yeh raahein yaad karti hain, yeh gulshan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh saavan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai
Koi jhonka hawa ka jab mera aanchal udata hai
Guman hota hai jaise tu mera daaman hilata hai
Kabhi chooma tha jo tune woh daaman yaad karta hai
Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh saavan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai
Woh hi hain jheel ke manzar, woh hi kirnon ki barsatein
Jahan hum tum kiya karte the pahron pyaar ki baatein
Tujhe is jhil ka khamosh darpan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai
Barasta hai jo aankhon se woh saavan yaad karta hai
Bedardi balma tujhko mera man yaad karta hai
- Song Name – Bedardi Balma Tujhko
- Singer – Lata Mangeshkar
- Lyrics – Hasrat Jaipuri
- Music – Shankar Jaikishan
- Movie – Arzoo (1965)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1965
[/dt_vc_list]