Raha gardishon mein hardam mere ishq ka sitara

Kabhi dagmagaye kashti, kabhi kho gaya kinara
Raha gardishon mein hardam
Koi dil ke khel dekhe ke mohabbaton ki bazi

Woh kadam kadam pe jeete
Main kadam kadam pe hara
Raha gardishon mein hardam mere ishq ka sitara
Raha gardishon mein hardam
Yeh hamari bad-naseebi jo nahi to aur kya hai

Ke usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara
Raha gardishon mein hardam mere ishq ka sitara
Raha gardishon mein hardam
Pade jab ghamon ke paale, rahe mitke mitne wale

Jise maut ne na poochha, use zindagi ne maara
Raha gardishon mein hardam mere ishq ka sitara
Kabhi dagmagaye kashti, kabhi kho gaya kinara
Raha gardishon mein hardam
- Song Name – Raha Gardishon Mein Hardam
- Singer – Mohammed Rafi
- Lyrics – Shakeel Badayuni
- Music – Ravi
- Movie – Do Badan (1966)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1966
[/dt_vc_list]