Khamosh rehne mein dum ghuth’ta hai
Aur bolne se jubaan chilti hai
Darr lagta hai nange paon mujhe
Koi kabra paon tale hilti hai
Pareshan hoon zindagi se
Kya pataa kab kahan se, maaregi zindagi
Kya pataa kab kahan se, maaregi zindagi
Bas ke main zindagi se, darta hoon
Bas ke main zindagi se, darta hoon
Maut ka kya hai? ek baar maaregi
Dhool udne lagti hai jab shaam ki
Sab kaanch bhar jaate hai gard se
Main darta hoon-main darta hoon
Dil jab dhadkne se thakne lage
Neend aane lagti hai tab dard se
Anjaan hoon zindagi se
Kya pataa kab kahan se, maaregi zindagi
Bas ke main zindagi se, darta hoon
Bas ke main zindagi se, darta hoon
Maut ka kya hai? ek baar maaregi
Track Info*
Song Name – Kya Pataa
Singer – Arijit Singh
Lyrics – Gulzar
Music – Vishal Bhardwaj
Movie – Drishyam
Song Label – Zee Music Company
Release Date – 7 Jul, 2015