Jaaniya Lyrics – Siddharth Basrur | Haunted (2011)

Jaaniya Lyrics

Dil sunta hai teri sada
Aa ru-ba-ru ab to zara
Bechain si meri zindagi
Sun kar teri yeh dastaan

Jeena mera aasan kar
Tu mil ke yeh ehsan kar
Kahin kho gaya chain usko ho
Tere dard ko ab jaan kar
Jaaniya o jaaniya
Bas roye dil mera
Aansu palkon pe nahi hai bewajah
Dil hai ghamzada jaaniya

Tujhe paa liya ya kho diya
Is baat par dil ro diya
Ke chaah kar tu na aa sake
Tu waqt hai guzra hua
Tujhe rakh liya in yaadon ne
Ik phool sa kitaabon mein
Is dil mein tu rahega sada ha
Aur mehkega in saanson mein

Raaton mein tu jal jaata hai
Chehre mein tu dhal jaata hai
Taara hai tu mujhmein toota sa
Neendon se jagaa deta hai
Palkon ko bhigo deta hai
Dariya hai tu mujhmein dooba sa

Har waqt khwaabon ki tarah tu aata raha
Jaaniya o jaaniya, din kya raat kya
Aahat ho koi lagta hai sada
Ke tu hai wahan jaaniya
Jaaniya o jaaniya, bas roye dil mera
Aansu palkon pe nahi hai bewajah
Dil hai ghamzada jaaniya

Track Info

Music Video

Heyyyyyy

Lyrics for Everyone!

  • Found the perfect lyrics? Share them with those who’ll appreciate them! Music is for everyone, and sharing is caring.

Help Us Improve!

  • Your feedback is invaluable! Share your thoughts and ideas so we can keep making SnoopLyrics the best place for lyrics lovers.

Recently Released

Weekly Popular