[vc_row][vc_column][vc_video link=”https://youtu.be/q-yiPfAM6X0″][vc_column_text]Woh sikandar hi dosto kehlata hai
Haari baazi ko jitna jise aata hai
Niklenge maidan mein jis din hum jhoom ke
Dharti dolegi yeh kadam choom ke
Hey niklenge maidan mein jis din hum jhoom ke
Dharti dolegi yeh kadam choom ke
Woh sikandar hi dosto kehlata hai

Jo sab karte hain yaaron
Woh kyon hum tum karein
Yoon hi kasarat karte karte
Kaahe ko hum marein
Ghar waalon se, teacher se
Bhala hum kyon darein
Yahan ke hum sikandar
Chaahein to rakh lein sabko apni jeb ke andar
Arre humse bachke rehna meri jaan
Nahi samjhe hain woh hamein to kya jata hai
Haari baazi ko jitna jise aata hai

Yeh galiyan apni, yeh raste apne
Kaun aayega apne aage
Raahon mein humse takrayega jo
Hat jaayega woh ghabra ke
Yahan ke hum sikandar
Chaahein to rakh lein sabko apni jeb ke andar
Arre humse panga mat lena meri jaan
Nahi samjhe hain woh hamein to kya jata hai
Haari baazi ko jitna jise aata hai

Yeh bholi bhaali matwaali pariyan
Jo hain ab daulat par qurban
Jab keemat dil ki yeh samjhengi to
Hum pe chhidkengi apni jaan
Yahan ke hum sikandar
Chaahein to rakh lein sabko apni jeb ke andar
Arre hum bhi hain shehzade gulfam
Nahi samjhe hain woh hamein to kya jata hai
Haari baazi ko jitna jise aata hai
Niklenge maidan mein jis din hum jhoom ke
Dharti dolegi yeh kadam choom ke
Hey niklenge maidan mein jis din hum jhoom ke
Dharti dolegi yeh kadam choom ke
Nahi samjhe hain woh hamein to kya jata hai[/vc_column_text][vc_custom_heading text=”Track Info*” font_container=”tag:h3|text_align:left” google_fonts=”font_family:Roboto%3A100%2C100italic%2C300%2C300italic%2Cregular%2Citalic%2C500%2C500italic%2C700%2C700italic%2C900%2C900italic|font_style:700%20bold%20regular%3A700%3Anormal”][dt_vc_list]

  • Song Name – Yahan Ke Hum Sikandar
  • Singer – Udit Narayan, Sadhana Sargam
  • Lyrics – Majrooh Sultanpuri
  • Music – Jatin-Lalit
  • Movie – Jo Jeeta Wohi Sikandar (1992)
  • Song Label – Saregama Music
  • Release Date – 1992

[/dt_vc_list][/vc_column][/vc_row]