Hamesha Der Kar Deta Hoon Main Poetry – Muneer Niazi

Hamesha Der Kar Deta Hoon Main

Hamesha der kar deta hoon main
Jaruri baat kahni ho,
Koi waada nibhana ho,
Use awaaz deni ho,
Use waapas bulana ho,
Hamesha der kar deta hoon main

Madat karni ho uski,
Yaar ki dhadas bandhna ho,
Bahot deri na rashto par
Kisi se milne jaana ho
Hamesha der kar deta hoon main

Badalte maushmo ki sair mein
Dil ko lagana ho,
Kisi ko yaad rakhna ho,
Kisi ko bhool jaana ho,
Hamesha der kar deta hoon main

Kisi ko maut se pahle
Kisi gham se bachana ho,
“Haqeeqat aur thi kuch”
Usko jaake ye batana ho
Hamesha der kar deta hoon main

~ Muneer Niazi

हमेशा देर कर देता हूँ मैं

हमेशा देर कर देता हूँ मैं

ज़रूरी बात कहनी हो
कोई वादा निभाना हो
उसे आवाज़ देनी हो
उसे वापस बुलाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं

मदद करनी हो उसकी
यार का धाढ़स बंधाना हो
बहुत देरीना रास्तों पर
किसी से मिलने जाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं

बदलते मौसमों की सैर में
दिल को लगाना हो
किसी को याद रखना हो
किसी को भूल जाना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं

किसी को मौत से पहले
किसी ग़म से बचाना हो
हक़ीक़त और थी कुछ
उस को जा के ये बताना हो
हमेशा देर कर देता हूँ मैं

~ Muneer Niazi

Leave a Reply