Sajda Lyrics – Ink Heart, Hashim Nawaz

Sajda Lyrics Ink Heart, Hashim Nawaz
Sajda Lyrics Ink Heart, Hashim Nawaz

Sajda Lyrics

[verse 1: Hashim Nawaz]

Kahan se aya main kahan ko jana
Aisi baaton par zikar karun ya likhun gana
Main hounga tere se, par tu mere se ho juda na
Mera yahan pe rabba koi bhi tere siwa na
Tera karam hua dobara hui aamad
Tujhe banata manzil jo uss ko tu milta raah par
Chun le mujhe bhi tu sajde karne waalon mein
Agar kisi din bhi tha main sajde karne waalon mein

Yeh baatein mehz baatein reh jaani hain
Bhare huye bartan yahan reh jaane khaali hain
Parda karte nahi kese daalein zabaani ye
Sapna mera yahi jeetun khud se ye baazi main

Baazigar
Mat khol apni maazi ki kitaabon ko
Jo tha wo raha nahi jo hai kisi ko nahi pata
Hai sab ko pata k is jahaan mein kuch na rakha
Par jaan k anjaan hein shayad sirf yahi na pata

Rooh mitti se ya mitti rooh se hai tang
Mere gunahon ne inke darmyaan daali jang
Hai mere sang kaafi log par wo karenge kya
Jo girun ga agar mere liye honge khade kya

[Pre Hook: Hashim Nawaz]

Naam bana liya par ban na saka namaazi main
Log pehchaan leta, khud ka pata ni hai
Opra mizaaj mera chokra mein aam
Aag toun bachana rabba jhopra makaan mera

Main toh naam ka bas jaanleva
Jagg ne kya hai bana dala
Mujhe sunte woh maante na
Kahani sunaate meri woh jo mujhe jaante na

[Hook: Hashim Nawaz]

Inhe kehne do
Mujhe sehne do
Yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
Mere baad meri baaton ko yeh karenge yaad
Mere aaj pe jo chahe inhe kehne do

Inhe kehne do
Mujhe sehne do
Yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
Yeh nahi jaante mujhe yahi karenge paaar
Jo kare paak unhi zakhmon ko rehne do

 

[Verse 2: Hashim Nawaz]

Ye samajhte banna chahta star main
Par main banna chahta apne baap jaisa
Amal se mere saare jaane mujhe
Baaki sara aarzi hai shohrat gaadi naam paisa

Haal kesa puchte main theek hun par haal mein na
Log dekhe bohat tabhi aata saamne na
Bina maqsad nahi kaam mera
Mere se mila jo kuch baant lena

Samundar paar se hain aate pehgaam
Jahan pe socha bhi na tha wahan pe banaya naam
Yahan pe kaafiyon ko lage meri kala haraam
Par mujhe ghair muslim bhi ab karte salaam

Inko na pata
Maine jo likha to woh inki khata
Inhone suna to woh meri fatah
Meri waja se kitno ne rap sunna shuru kia
Bolenge ye nahi par is baat k ye khud hain gawaah

Mere paas kuch bhi karne ko na saabit
Kitna qaabil hoon main pata jisko pata hota shaamil
Inki mehfilon mein zada na main
Aur jab hota hun to chup rehta tabhi inko bhaata na main

Yeh bacche saare mere jaisa banna chahte
Jo main karta hun wo yeh saare bhi karna chahte
Par jo main karta uspe upar wala parda daale
Shayad kalakaar lagte hain khuda ko pyaare

Samaaan jama karlia jo leke jana nhi
Izzat deta rabb hai banda kamata nhi
Mita ta aib apne khud ko mita ta ni
Hashim abhi na-samajh hai baatein par banata kayi

 

[Pre Hook: Hashim Nawaz]

Naam bana liya par ban na saka namaazi main
Log pehchaan leta, khud ka pata ni hai
Opra mizaaj mera chokra mein aam
Aag toun bachana rabba jhopra makaan mera

Main toh naam ka bas jaanleva
Jagg ne kya hai bana dala
Mujhe sunte woh maante na
Kahani sunaate meri woh jo mujhe jaante na

 

[Hook: Hashim Nawaz]

Inhe kehne do
Mujhe sehne do
Yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
Mere baad meri baaton ko yeh karenge yaad
Mere aaj pe jo chahe inhe kehne do

Inhe kehne do
Mujhe sehne do
Yahi ilaaj mera zakhmon ko rehne do
Yeh nahi jaante mujhe yahi karenge paaar
Jo kare paak unhi zakhmon ko rehne do

Track Info

  • Song Name – Sajda Lyrics
  • Artist – Ink Heart, Hashim Nawaz
  • Written by – Hashim Nawaz
  • Produced by – Ink Heart
  • Mix Engineer – Jaydeep Hora
  • Artwork/Visuals – Saurabh K Maurya
  • Song Label – © 2020 Ink Heart
  • Release Date – 27 Nov, 2020

Music Video