Anjaane ho tum
Jo begaane ho tum
Jo pehchaane lagte ho kyun ?
Tum ghehri neendon mein
Jab soye soye ho
To mujh mein jagte ho kyun ?
Jab tujhko pata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta ?
Kya tujhme dhoondun main
Kya tujhse chaahun main
Kya kya hai tujhmein mera ?
Jaanu na main
Tujhmein mera hissa hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Jaanu na main
Tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Tujhse taalluk jo nahi kuch mera
Kyun tu lage hai apna sa
Dekhoon jo tujhko ek nazar jaaye bhar
Mujh mein hai mera jo khala
Zindagi mein khushi
Tere aane se hai
Warna jeene mein gum
Har bahaane se hai
Yeh alag baat hai
Hum mile aaj hain
Dil tujhe janta
Ek zamane se hai
Jaanu na main
Tujhmein mera hissa hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Jaanu na main
Tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Aankhon ne aankhon se kahi dastaan
Tumko banaake raajdaan
Baahon mein jannat aa gayi khusnuma
Tum jo hue ho meharbaan
Jism se jism ka
Yun taarruf hua
Ho gaye hum sanam
Rooh tak aashna
Ek zara jo chale
Do kadam saath mein
Mil gaya hai humein
Zindagi ka pata
Jaanu na main
Tujhmein mera hissa hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Jaanu na main
Tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Anjaane ho tum
Jo begaane ho tum
Jo pehchaane lagte ho kyun ?
Tum ghehri neendon mein
Jab soye soye ho
To mujh mein jagte ho kyun ?
Jab tujhko pata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta
Jab tujhko pata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta ?
Kya tujhme dhoondun main
Kya tujhse chaahun main
Kya kya hai tujhmein mera ?
Jaanu na main
Tujhmein mera hissa hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Jaanu na main
Tujhse mera rishta hai kya
Par ajnabi
Apna mujhe tu laga
Track Info*
Song Name – Apnaa Mujhe Tu Lagaa
Singer – Sonu Nigam
Lyrics – Shakeel Azmi
Music – Chirantan Bhatt
Movie – 1920 Evil Returns
Song Label – T-Series
Release Date – 22 Jun, 2012