Raabta Lyrics
[Verse 1: Talha Anjum]
Yeah!
Tu likhe dard, tou main aage behisaab likhu
Tu likhe sham, main gam, gilley aur sharab likhu
Tu guzara zamaana lage, main tujhpe kitab likhu
Riyazi kamjhor meri, duniya ghadbadi karti hisab mein kyu?
Khuli kitab bhi hu, rehta hu khud mein ek raaz sa kyu?
Urdu rap ko main lazim hu
Urdu rap mein main naazil hu
Apne khwab kiye pure, apno ki ummeede naz ka qatil hu
Apne khwab kiye pure, khwab manjhil hai aur main ek musafir hu
Khuda ne di hai ye izzat, kasam khuda ki main nahi tha iss layak bhi
Angrezi rappers ko sunta tha, tooti footi jaise bhi samajh aai thi
Mein sirf karna chahta shayari, meri kala lai logo ko kahili
Maa ne har khwahish ki puri, zarurat me bani baap bhi bhai bhi
Main likhta ni kalam se, kahi aasuo se bikhar jayena shayari
Andar se hum sab udas hai, muskurahatein hai zahiri
Came from a broken family, music hi mera escape tha
Mudke ab dekhta haal ajeeb tha, ab main lakho mein ye gaane bhechta
Ab main kehta hu zindagi stage si, jo main na karu vo nahi mainstream
Main battamiz lekin mehnati, main fans ke dil mein rahu rent free
Meri jebo mein note bhare pant ki, i only show you what you can see
Maine jaan laga di ki log mujhe jaane, abb irritet karti attention
Mujhe khoke pe log rokey photo ke liye, pasand nahi nikal na hai ghar se
Zimmedari se kehta hu gusse ki assal wajah, aksar banti chars nahi
Hum maslo ko dekhte hai face value pe, nai pakar patey unhe jarr se
Main sunane baitha jo apni toh pucho ge, kya wo dard bhi dard the par
[Jokhay]
Abhi jaa nahi
Dil khali hai teri zarurat hai
Nazarein bula rahein
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hai ye rabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hai ye rabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
[Verse 2: Hashim Nawaz]
Tha waqt jab kehne ko lafz nahi the, ab jab labz hai hai waqt nahi
Each day tera bhai karta evolve, bakien ye laundey hai abb bhi wahien
Nahi banegi tu meri fantasy, but still you be my fan to see me rap
Inke liye na kabhi karta hu gaari ghadi reverse phir, karunga main kaise inhe back
Log karte shor jinke bich hu main, jo bhi sune mujhe unke karib hu main
Rangeen hu gariboan ki sohabat se door hoke, samajh bahitha khud ko ameer hu main
Mere sath waley sath waley kamarein mein, aur iss kamrey mein gair mere sath hein
Thoda jag raha jada main sapne mein, awaam kab tak karunga bardast yeh?
Zarf bant de bole kalam mere hath mein, kabhi kabhi hote sher bina kafiye
Mehmaan sarey apne hi gharo mein, insaan sada mautaj agli saans ke
Inhe khush karna lage mehaz hasrat, mukhtalif log lete mukhtalif matlab
In batoan ka main waqt kaise nikal ke dekhu, ke hai yeh naraz ya karein ye nafrat
Khair jo bhi unka shukriya, jis jis ne bhi likhney ko lafz diya
Paas taqt inke jor tha par kursiya, begharz thoda khud ko hai kardiya
Main ne ghar diya inke diloan mein khud ko, jaati over headlines meri kabar tum ko
Main ek talib ilm khojta jawab, kafi liya sikh lekin nahi dhun paya khud ko
Khanabadosh main do mjhe dosh nahi, tum mujhe jante bas ho mere dost ni
Agar main khalayi makhlooq tere mutabiq, to mere aagey yun hawa mein chor nahi
Toofan tera bhai jab bhi karein kaam, if i drink and drive toh traffic honi nahi jaam
Zein pe jor de kon main bol de, bhai tera kholey mein heera khultey inke nahi kaan
Mujhe na pata kya mera hai level?, kya ye lete hai mere naam?
Main rahunga yaha par kahunga, kiya tha rap Talha Anjum ke sath
Mein side nahi leta tum mere iss aadat ki wajah se hona naraz
Inki nazar mein hu kya kuch nahi main, jo nahi toh bas kalakar
[Jokhay]
Abhi jaa nahi
Dil khali hai teri zarurat hai
Nazarein bula rahein
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hai ye rabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
Jiske hone se tha saya kadi dhoop mein
Jo sach dhoond leta tha mere har jhut mein
Ristey amar hai ye rabtay nahi tutte
Abhi jaa nahi
Track Info
- Song Name – Raabta Lyrics
- Artist – Jokhay
- Featuring – Hashim Nawaz, Talha Anjum
- Lyrics – Talha Anjum, Hashim Nawaz
- Produced by – Umair Khan aka Jokhay
- Album – Ep “Khana Badosh”
- Song Label – © 2021 Jokhay
- Release Date – 7 March. 2021
Music Video