Sathiyo, Sathiyo aakhri baar kya kah raha hoon suno
Ho sake to suno

Maine aapne garm lahoo se
Waqt ke barfeele kaagah par
Eak paigaam likha hai
Jinke naam likha hai
Untak pahuncha dena
Untak pahuncha dena
Mere man ki baat unhe tum batla dena

Maine aapne garm lahoo se
Waqt ke barfeele kaagah par
Eak paigaam likha hai
Eak paigaam likha hai

Meri maa se tum ye kahna
bachpan me mujhse tune kaha tha
Dharti Maa bhi maa hoti hai

Maine aaj is dharti maa ki laaz rakhi hai
Mat roo ma tu kyu roti hai, Kyu roti hai, kyu roti hai

Maine aapne garm lahoo se
Waqt ke barfeele kaagah par
Eak paigaam likha hai
Eak paigaam likha hai

Mere baba se tum kahna
bachpan me mujhse tumne kaha tha
Aisa kuch mat karna ki main sarminda hoon
Tumne kaha tha itihaash humse kahta hai
Jo hai bahadur marke bhi jinda rahta hai
Baat tumhari maan li maine apne watan pe jaan di maine
Dekho Baba aaj main marke bhi jinda hoon

Sau karor insaano ke aahsas me main jinda hoon
Hindustaan ke man me base hai biswas me main jinda hoon
Naujawaan chehro me main hoon
Sarhar par pehro me main hoon
Tum mera koi gum na karna
Apni palko ko nam na karna
Apna gaurav kam na karna
Apna gaurav kam na karna

Main Zinda Hoon
Main Zinda Hoon
Main Zinda Hoon
Main Zinda Hoon
Main Zinda Hoon
Main Zinda Hoon
Main Zinda Hoon

 

Track Info*

Song Name – Main Zinda Hoon
Singer – Sonu Nigam
Lyrics – Javed Akhtar
Music – Anu Malik
Movie – Paltan
Song Label – Zee Music Company
Release Date – 28 Aug, 2018