Aaja Tu

Meri aankhein nam ho rahi hai
Meri saansein kam ho rahi hai
Aaja tu
Aaja tu

Raah teri main dekhta hoon
Main toh tujhko hi sochta hoon
Aaja tu
Aaja tu

Hai dil pe naam tera
Meri jaan tu kahan ?
Ye bata?
Hai dil pe naam tera
Meri jaan tu kahan ?
Ye batade ?

Jo aankhein meri nam huyi
Meri saansein kam huyi
Itna tanha hua
Rooh bhi saham gayi
Aaj kar waada degi
Janmo ka saata mera
Tere chale jaane se hi
Duniya thehar gayi

Rooth jaana tera
Iss baat ka hai gum nahi
Rooth ke jo chala gaya
Mera tu sanam kahin
Tere bina chain
Mujhe aaye aab kahin na kyun?
Dhaa raha mere khuda
Mujhpe sitam yahi

Meri aankhein nam ho rahi hai
Meri saansein kam ho rahi hai
Aaja tu
Aaja tu

Raah teri main dekhta hoon
Main toh tujhko hi sochta hoon
Aaja tu
Aaja tu

Wo batein jo tune kahi,
Maanta hoon thi wo sahi
Sach tere saamne tha,
Phir bhi maine maana nahin
Aankhon pe hai meri,
Tere pyar ka ujaala
Basta jaaneman har jagah,
Mujhe bas dikhe tuhi

Rukjao jara jara
Dil ki sunke jaana
Ho gayi bhool
Aise baat ko na badhaana
Bhool gaya main bhi
Mujhe maaf kar tu bhi
Dekh tujhe jaata dekh
Hansta mujhpe jamaana

Haan teri hi toh yadon ke
Sahaare main jeeta hoon
Laga ke aas teri intezaar mein baitha hoon
Bin tere kaise katt’ti hai ratein
Roti hai aankhein meri nam hoti
Toh hone de aansu pee leta hoon

Kyun ye aankhein nam ho rahi hai
Kyun ye saansein kam ho rahi hai
Aaja tu
Aaja tu

Raahein teri main dekhti hoon
Main bhi tujhko hi sochti hoon
Aaja tu
Aaja tu

Hai dil pe naam tera
Meri jaan tu kahan ?
Main yahan, tere saath
Hai dil pe naam tera
Meri jaan tu kahan ?
Main yahan, tere saath

 

Track Inf0*

Song Name – Aaja Tu
Singer – Harmaan Nazim & Sarodee Borah
Lyrics – Prashant Singh / Shahrukh Ibrahim
Music – Verdadera Stern
Song Label – Zee Music Company
Release Date – 23 March, 2019

Heyyyyyy

Lyrics for Everyone!

  • Found the perfect lyrics? Share them with those who’ll appreciate them! Music is for everyone, and sharing is caring.

Help Us Improve!

  • Your feedback is invaluable! Share your thoughts and ideas so we can keep making SnoopLyrics the best place for lyrics lovers.

Recently Released

Weekly Popular