Main aur tu kaafi the na thi koi jaroorat
Dil bhi tera, tere chehre jitna khoobsurat
Yahi soch ke main tujhme poora khoo gaya
Kya socha tha? kya se kya ho gaya
Main tujhko puchun kya tha ye tu kahti “sab majaak tha”
Bandh gaya tha tujhse aab band ho gaya rashta
Hai tujhko mera vaashta jawab de sawaal ka
Tere pyaar ke chaal ka, mere bure haal ka
Main abhi bhi yaad karke roota kitna kiya tha samjhota
Jitna bada samjha humko, utna ho gaya main chhota
Tujhe na kadar, tujhe na aasar, chhodi na tune koi bhi kasar
Jaana chahta tujhse door phir bhi teri saari khabar
Par abhi na padta farak dil ki baatein kahne ki
Ek akjiri baaar teri bewafayi sahne ki
Tere gulami se ho gaya hoon ab ajaad
Dhayan se sun le ye baat ki-
Aakhri baar kiya pyaar tujhe, aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe, aakhri baar
Wo saare lamhe aab aate mere saamne
Jab base the ekduje ke dil aur jaan mein
Jab basi thi saasein teri muskaan mein
Tabhi ye faasle, mere roz praan le
Main abhi bhi wahin hoon tujhe yahi dhundh raha
Tuhi mujhe dikh rahi, tera naam gunj raha
Barshati thi mujhpe pyaar ki barish,
Aab dhundhne par bhi naa milti hai boondein yahan
Kyun kiya aisa ? chhod diya tadapne ko
Kyun di yaadein jab deni thi rakhne ko
Rab na bhatakne ko, dil ka dard chakhne ko
Pahle haath pakda phir kah diya hatne ko
Itna asaan tha toh mujhko bhi sikha jaati
Keh doon teri khusboo mein din raat teri yaad aati
Lag raha hai khud se kar raha hoon baatein
Kahne na bachi koi baat baaki
Aakhri baar, Socha hum dono ke baare mein
Aakhri baar, Mere saare jasbaat haare the
Aakhri baar, Jo sehna tha seh liya
Aakhri baar, Jo kahna tha kad diya
Aakhri baar kiya pyaar tujhe, aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe, aakhri baar
Aakhri baar kiya pyaar tujhe, aakhri baar
Aakhri baar kiya yaad tujhe, aakhri baar
Track Info*
Song Name – Aakhri Baar
Singer – Palash Muchhal
Rapper – Parry G
Lyrics – Palash Muchhal & Parry G
Music – Palash Muchhal
Song Label – Zee Music Company
Release date – 22 Oct, 2019