Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Jawab ich nahi hamara kahin
Badi khoob jodi hamari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Kya dekhta hoon main, kab dekhta hoon
Kya dekhta hoon main, kab dekhta hoon
Teri nazar se main sab dekhta hoon
Teri kasam yeh hath hain mere magar
In hathon mein taaqat tumhari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Dil mein lagaai hai tasveer teri
Dil mein lagaai hai tasveer teri
Tera nasiba hai taqdeer meri
Tum donon ne jo kuchh kaha maine suna
Magar ab suno meri baari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Humse jo ulajhe woh hoga deewana
Humse jo ulajhe woh hoga deewana
Awaaz tu de main baandhoon nishana
Udte huye panchhi ke par hum kaat lein
Ke main jaal hoon tu shikari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Hum hain jawani ke din-raat jaise
Hum hain jawani ke din-raat jaise
Lagta hai bachpan se hain sath jaise
Dil yaar ka, jaan yaar ki, apna hai kya
Yeh vardi bhi to sarkaari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Jawab ich nahi hamara kahin
Badi khoob jodi hamari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
- Song Name – Ae Yaar Sun Yaari Teri
- Singer – Mohammed Rafi, Asha Bhosle, Shailendra Singh
- Lyrics – Anand Bakshi
- Music – Laxmikant-Pyarelal
- Movie – Suhaag (1979)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1979
[/dt_vc_list]