Saans hai jab talak na rukenge kadam
Chal pade hain to manzil ko pa jaayenge
Jaan pyaari nahi hai watan se hamein
Marte marte sabhi ko bataa jaayenge
Aye watan.. aye watan!
Aye watan.. aye watan!
Woh jawani jo khoon ko jalaati nahin
Woh watan ke liye rang laati nahin
Daag lekar gulami ka kyun hum jiyein
Kyun hum jiyein..
Soch kar raat ko neend aati nahin..
Saans hai jab talak na rukenge kadam
Chal pade hain to manzil ko pa jaayenge
Jaan pyaari nahi hai watan se hamein
Marte marte sabhi ko bataa jaayenge
Aye watan.. aye watan!
Aye watan.. aye watan!
Humne tay kar liya humne le li kasam
Khoon se apne seenchenge hum yeh chaman
Humne tay kar liya humne le li kasam
Khoon se apne seenchenge hum yeh chaman
Jaan lekar hatheli pe hum chal diye
Haan hum chal diye
Baadhkar sar pe nikle hain hum yeh kafan
Saans hai jab talak na rukenge kadam
Chal pade hain to manzil ko pa jaayenge
Jaan pyaari nahi hai watan se hamein
Marte marte sabhi ko bataa jaayenge
Aye watan.. aye watan!
Aye watan.. aye watan!
Aye watan.. aye watan!
Aye watan.. aye watan!
- Song Name – Aye Watan
- Singer – Veer Rajinder
- Lyrics – Dev Kohli
- Music – Anand Raj Anand
- Movie – 23rd March 1931: Shaheed
- Song Label – T-Series
- Release Date – 4 May, 2002