Badal Yun Garajta Hai Lyrics – Betaab (1983) |

Released on:

Views:

- Advertisement -

Badal Yun Garajta Hai Lyrics

Badal yun garajta hai, dar kuchh aisa lagta hai
Badal yun garajta hai, dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi
Badal yun garajta hai, dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi

Baahar bhi toofan, andar bhi toofan
Beech mein do toofano ke yeh sheeshe ka makan
Baahar bhi toofan, andar bhi toofan
Beech mein do toofano ke yeh sheeshe ka makan
Aise dil dhadakta hai
Arre aise dil dhadakta hai, dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi

Yeh deewani shaam, yeh toofani shaam
Aag barasti hai sawan mein pani ka hai naam
Yeh deewani shaam, yeh toofani shaam
Aag barasti hai sawan mein pani ka hai naam
Bas kuchh bhi ho sakta hai
Arre bas kuchh bhi ho sakta hai
Dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi

- Advertisement -

Tauba husn-e-yaar, badle rang hazaar
Sharm kabhi aati hai aur kabhi aata hai pyar
Tauba husn-e-yaar, badle rang hazaar
Sharm kabhi aati hai aur kabhi aata hai pyar
Dekhein kaun theharta hai
Arre dekhein kaun theharta hai
Dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi

Tum baitho us paar, hum baithein is paar
Aao apne beech bana lein hum koi deewar
Tum baitho us paar, hum baithein is paar
Aao apne beech bana lein hum koi deewar
Dil phir bhi mil sakta hai
O dil phir bhi mil sakta hai, dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi

Badal yun garajta hai, dar kuchh aisa lagta hai
Chamak chamak ke lapak ke yeh
Bijli hum pe gir jaayegi
Badal yun garajta hai, dar kuchh aisa lagta hai

Track Info

  • Song Name – Badal Yun Garajta Hai Lyrics
  • Singer – Shabbir Kumar, Lata Mangeshkar
  • Lyrics – Anand Bakshi
  • Music – R D Burman
  • Movie – Betaab (1983)
  • Song Label – Saregama Music
  • Release Date – 1983

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising