Balli Aur Mein Lyrics
Ek dafa zikar hai thodi purani baat hai sahi se yaad nai
Mera ek dost tha Balli, yaaro ka yaar bhaiyo ka bhai
Wo dil ka tha bohot he saaf, haan kuch adatein kharab thi,
Ye baat hai 2012 ki Charas, Sharaab toh shehar mein aam thi,
Balli gareebi mein bara hua usne dekhi nai shan-O-shaukat
Wo chahta tha paisa bohot saara lene ko ready tha wo koi bhi shortcut,
I’ll cut short to jab usne ye socha ke
Ek pistol chahiye 2 larkay jayein ge,
2 peechay ayein ge, fielding lagayein ge,
Kaam dikhayein ge aur phir nikal jayein ge,
Aur aisa he hua sab laute ghar ko jebo mein note he note,
Balli bhi khush hai wo maare dum bhi Balli ko yaad nai maut,
Par maut ki baat nai karte kyun ke is kahani mein wo aage aani hai,
Aaja maa tujhe main shopping karwaun tu fikar nai kar paisa pani hai,
Aaja hum ghoomne chalein tu mujhe ghumaati thi ab meri bari hai,
Balli ki maa he thi sab kuch, Balli ka baap is dunya mein raha nahi,
Balli ko jaanta tha bare aarse se Balli aur mere mein parda nai,
Balli ka khauf tha larko mein par use pata tha main us’se darta nai,
Aur jab bhi milta tha us se mein kehta tha jaani ke ye laanje theek nai,
Lekin mein jaanta tha uske pass koi degree ya certificate nai,
Dhundhi par mili nai naukri, ab bhooka toh roti he maangta hai,
Teri nazar mein wo bas ek dacoit par bhook ko bhooka he jaanta hai,
Aur upar se asle aur nashe ka mix toh hamesha hota hai lethal,
Balli was losing control paise ke chakkar mein thok diya dealer,
Balli ko dhoond rahi police lagi hui dafa 302,
Aur tum socho ge mujhe kisne kaha ye sab tou phir tum aage suno,
“Waise tu jaanta haina, tere naam ki goli pehle Balli he khayega”
“Tension? Sab se bari tension tou tum ho mere liye”
“Ye jo bhi ho raha hai na tere saath, ye tere kiye ki saza hai”
“Jani ye haraam ka paisa kab tak chalega? Pani ki tarah behta hai ye”
“Shaam mein milte hain jaani, aur haan! Abba se mil lena apnay”
Ab Balli tha rooh posh use din raat ki bhi hosh nai
Wo kisi pe nahi kar sakta bharosa use pata hai koi uska dost nai
Wo sab toh matlab ke log thay Balli akela koi us’se close nai
He thought he would die like a hero kyun ke villains ke marne pe hota soug nai
Ab pistol hai haath mein lekin batao na himmat wo kaise jutaye
Maa ka chehra ata saamne jab bhi uski ungli trigger pe jaye
Maathe se paseena ponche sar phatte dard se baal apne nooche
Sunai dete use sirens he’s paranoid and he’s violent
Wo nikla phir tang aake ghar se
Khatam saare paise khatam hain charsein
Aur aise mawaqo pe hota shaitaan sawaar humaare hawaas pe
Mein ne awaaz di Balli ko dekh ke wo bola milein ge shaam mein
Ab mujh jaisa mehez ek insaan bhalla Kya bolay ga khuda ke kaam mein
Aur Saddar ke aitraaf maare gaye hain do namaloom afraad
Baraamad hui unke pass se pistol kuch phones aur manshiyaat
Ab Balli toh bacha nahi lekin mera ye gaana hai us he ke naam mein
Waada hai mera ke jis din mein maru ga milein ge us he din shaam mein
Same spot, tere ipod mein wo Hopsin aur K dot,
Good kid mad city bari sach baat
Meri sheher ki hawa mein nai insaan,
Insaan gumrah yahan insaan
Sanjeeda hain mere saaray unwaan
Qissay mashoor qabar gumnaam
Sunsaan guliya’n hain saari sunsaan
Sun le khuda mein dunya se anjaan
Sun down, bad shit pops, guns out
Madadgaar 15 times runs out
Balli I’m smoking my lungs out
Balli aur mein, Balli aur mein
Guliyo’n mein, guliyo’n se
Balli aur mein, Balli aur mein
Guliyo’n mein, guliyo’n se
Track Info
- Song Name – Balli aur mein Lyrics
- Artist – Talha Anjum
- Lyrics – Talha Anjum
- Album – Mein
- Produced By – Umair Khan
- Release Date – 21 Dec, 2019
Music Video