Dear Aditya Lyrics – Badshah | Fitoor

Dear Aditya Lyrics

[Verse 1]
Kaisa hai kya haal hai kya chal raha hai
Gaane vaane sun raha hai ya padh raha hai
Jitna marzi rishtedar tere peeche padein dekh
Dariyo na tu sapne dekh aur bade dekh
Ye jaankar tu aaj bada dang hoga
Ke pandran saal mein in sabka mooh band hoga
Jin teacheron ko tujhse zaraa bhi ummeed nai thi un saare teacheron ki naak mein dum
Papa ka thoda dhyaan rakh unka dil kamzor hai
Tere aas paas aadhe se zaada bande chor hain
Dost kam rakhiyo circle usse chota
Paisa boht aane wala hai wallet mota rakhiyo
Maa baap ke siva koi saga nai milega
Sukoon ghar ko chod kisi jagah nai milega
Jisko pyaar tu karega dil wo tera todegi
Kisi paise wale ke liye wo tujhe chodegi
Ek dedh hafta rona, man kare to chillana
Lekin fir chup chaap wapas music pe lag jaana
Uski yaad mein koi sad songs nahi banaiyo
Log waise hi boht rote hain tu party karaiyo
Koi dedh chaal chale to tu dhai samajhna
Par jo pakde tera hath use bhai samajhna
Par kain baar hath deke hathon ki lakeerein le jaate hain log tab hathon ki safai samajhna
Hateron ka dil dekh dehelte rahega
Shuru jaise marzi karaa ant keher se karega
Do(2) kamron ke ghar mein tha janma tu tujhe pata nahi tu ek din kitne bade mahal mein rahega
Maa khush hogi lekin papa khush ni rahenge
Unka man hai tu IAS bane par push ni karenge
Log teri lagataar kaamyaabi dekh bore hoke hate karenge par mooh pe kuch ni kahenge

Haan…. tu itna zaada kaamyaab hoga
Naam badshah aur sabko tera naam yaad hoga
Haan…. Tu itna zaada kaamyaab hoga

[Chorus: Vaidik Dawale, Aanya Jain, Veda Mahajan, Advik Kasbe]
Chaltre reh rukh nai
Khone ko kuch nai
Humko tujhe pe hai yakeen
Humko khudh pe hai yakeen
Rakhna mat tu sabr
Cheen le
Kood kar
Aasmaan aur Zameen
Humko tujh pe hai yakeen

[Verse 2]
Behkaave mein aake tu sidein switch nai karna
Fame ke chakkar mein kisiko diss nai karna
Khoob mehnat karna sirf wish nai karna
Aur jab saamne nishaana ho to miss nai karna
Tujhe ladna hi hoga
Chahe kat jayen taangein aage badhna hi hog
Yaad rakh fame ek kiraaye ka makaan hai
Ek din tujhe ise khali karna hi hoga
Jaam na sharaab lena, pyaar behisaab dena
Mooh kam kholiyo tu Kaam se jawaab dena
Banda tujhse kya chahe aankhon se bhaanp lena
Jo karega wo bharega khud ko na paap dena

[Chorus: Vaidik Dawale, Aanya Jain, Veda Mahajan, Advik Kasbe]
Chaltre reh rukh nai
Khone ko kuch nai
Humko tujhe pe hai yakeen
Humko khudh pe hai yakeen
Rakhna mat tu sabr
Cheen le
Kood kar
Aasmaan aur Zameen
Humko tujh pe hai yakeen

[Outro]
Haan…. tu itna zaada kaamyaab hoga
Naam badshah aur sabko tera naam yaad hoga
Haan…. Tu itna zaada kaamyaab hoga

Track Info

  • Track Name – Dear Aditya Lyrics
  • Artist – Badshah
    • Vocals – Badshah
    • Extra Vocals – Vaidik Dawale, Aanya Jain, Veda Mahajan & Advik Kasbe
  • Produced by – Hiten
  • Written by – Badshah
  • Album – Fitoor
  • Release date – 27 feb, 2025

Music Video

Heyyyyyy

Lyrics for Everyone!

  • Found the perfect lyrics? Share them with those who’ll appreciate them! Music is for everyone, and sharing is caring.

Help Us Improve!

  • Your feedback is invaluable! Share your thoughts and ideas so we can keep making SnoopLyrics the best place for lyrics lovers.

Recently Released

5 1 vote
Lyrics Rating
0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments

Weekly Popular

0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x