Table of Contents
Depression Lyrics
Yeah,
Talhah Yunus in the house!
6IX!
Kya aap bhi un me se jo lar rahay depression se?
Anxiety se? Tung is society se?
Baap bola mera zindagi ek lesson hai
Tu blessing hai, tu blessing hai, tu blessing hai, he says…
“Don’t kill youreself” and i say i hope God’s listening
My mind shines and my vision slick, still
Hamesha se hi music mere liye mission ek
But i’m so ill in it, so i’m killin’ it
Sadne wale sarhte kyunki they know i’m still chillin’ bey
Still winning ’cause i keep it 100, ye views gine aur hum news bane
Munhphat hoon phir bhi gaane mere loop per hain
Kaafi upar hai jani apna level pedal to the mdtal
Khan ke liye aaj bhi bhai sune heavy metal
I don’t back pedal, but lemme take you a couple of years back fellas
Jab na koi Young Stunners tha aur na hi Heavy Mental
Jab 15 saal ka tha bheja 25 saal wala
Huliya angrezo jaisa, music sunun kaalo ka
Sach bolne walon ka, kyunki is mein hi toh art bhala
Khan ko main bola ki HipHop laga jara, Bars sun hard haina?
Bass khol speakers ko phaar marra,
Par woh bola mujhe ki ye sab bakwas Talhah
Ye sun ke main udaas hua, dekha aina, khaas se khaak hua
NAS se TUPAC hua, chup se bebaak hua
Aag yha phir raakh hua, bara disheart hua
Mere har gaane mein nasha hai na sun! ye gunaah bara
Likhe teen gaane MAA pe, sirf do unhe suna saka
Sochun kya main haar chuka? Naa
Khuli kitaab aaj toh padhta woh panne jin pannon tak aaj tak koi pahuncha hi nahi
Likhta raha main duniya pe, par aaj kisi ne mere baare pucha hi nahi
Phir bhi dekh tera bhai toota nahi
Fans fam bane , huye mere saath bare
They know i’m hot headed, tabhi paper bohat banaya, bohat baray
Ajaaye maut bhale
Kya aap bhi un me se jo lar rahay depression se?
Apne aggression se? Ghar waali tension se?
Bachhe padhte aaj bhi ghar chalte hai pension pe
Legend of my city, they gon’ mention me
Yeah, that’s right
Sun, ye sirf geet nahi takhleeq chhote,
main padha likha hoon toh baith neeche seekh chhote
Beshak kheench doday, chahrte likhna deep jaise TY on the beat
Par koi mere jaisa nahi toh kyun tasdeeq chhote?
Main pehla banda jo laaya Anjum ko beat pe
They told the boy, broke the boy, par hum dheet the
Aaj bhi qaim us umeed pe main likhun sach, duniya bole ki main weed pe
Log kahte kaise karlete aap teach me
Out of their reach, yet they wanna reach me
Rap yahan wo phal jis ke boye maine beej they
Izzat se barh ke nai kuch paisa kia cheez bey?
Yaad kar, joor daal chhote, yaad kar
Main 16 saal ka, gaane jubaani yaad par
Jisko sunana tha wo chhoor gayi saath jab
Kisko sunata? kyun main gungunata? sochun ye main aajtak
Kis se karun baat ab? kyun nahi yaad rahte khwaab?
Jaagun saari saari raat, teri yaad mein main gin raha taare, kia woh aap?
Dekho jee raha apna khwaab main, dil se likhun gaane tabhi duniya aaj bhi daat de
Meri zindagi kahani keh chuka tha par na maani
Kaun si khaami hun toh kahte bhai kamzorian chupaa nahi
Tu khuda nahi, tu khuda nahi
Shehar anjaan tha main wahan mehman tha
Bhatakta kaise jab har raashta mujhe jaanta
Tajurba itna aaj bhi haath nahi kaampta
Mana tu bada dogla, sikka paanch ka
Par main tere jaisa nahi, main naghi uda raha baap ka paisa bhai
Jab ghar chhoda saath chhoda lena paisa bhi, ab ban na mere jaisa bhai
Main jaisa bhi log aaj bhi dhundein meri recipe
Master P ya master T, i let my word play, don’t come after me
Track Info
- Song Name – Depression Lyrics
- Artist – Talhah Yunus
- Produced By – Momin
- Album – 6IX
- Release Date – 5 April, 2020