Din dhal jaye haye raat na jaye
Tu to na aaye teri yaad sataye
Din dhal jaye haye raat na jaye
Tu to na aaye teri yaad sataaye
Din dhal jaye
Pyar mein jinke sab jag chhoda
Aur huye badnaam
Unke hi hathon haal hua yeh
Baithe hain dil ko thaam
Apne kabhi the, ab hain paraye
Din dhal jaye haye raat na jaye
Tu to na aaye teri yaad sataaye
Din dhal jaaye
Aisi hi rimjhim, aisi fuharein
Aisi hi thi barsaat
Khud se juda aur jag se paraye
Hum dono the sath
Phir se woh sawan ab kyon na aaye
Din dhal jaye haye raat na jaye
Tu to na aaye teri yaad sataye
Din dhal jaye
Dil ke mere tum paas ho itni
Phir bhi ho kitni door
Tum mujhse, main dil se pareshan
Donon hain majboor
Aise mein kisko kaun manaye
Din dhal jaye haye raat na jaye
Tu to na aaye teri yaad sataye
Din dhal jaye
- Song Name – Din Dhal Jaye Haye
- Singer – Mohammed Rafi
- Lyrics – Shailendra
- Music – S D Burman
- Movie – Guide (1965)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1965
[/dt_vc_list]