Fursat Hai Aaj Bhi Lyrics – Arjun Kanungo | Mayur Puri

Fursat Hai Aaj Bhi Lyrics - Arjun Kanungo  Mayur Puri
Fursat Hai Aaj Bhi Lyrics – Arjun Kanungo Mayur Puri

Fursat Hai Aaj Bhi Lyrics

Bhoolna kya bhulaana kya
Roothna kya manaana kya
Dil ko behlane ka
Aur bas hai bahaana kya

Zindagi ka thikaana kya
Dil kabhi tha sayaana kya
Rooh mein tu hai mehfooz
Phir tera jaana kya

Tujhe khoya nahi tha kabhi
Tu hai yahin kahin aaj bhi

Fursat ka jo har lamha hai
Mujhse bas yeh kehta hai
Aadat teri baaton ki aaj bhi
Aaj bhi

Teri aakhon ne jo dekhe the
Meri aakhon mein wo sapne hain
Sarhad nahi khwabon ki aaj bhi
Tu hai aaj bhi

Bin bulaaye yeh aana kya
Aa gaye to hai jaana kya
Teri yaadon se behtar hai
Dil ka thikaana kya

Tere mere woh pal meethe
Kam lage sath jo beete
Par tu hai door yeh meri
Aankhon ne maana kya

Tujhe bhoola nahi tha kabhi
Tu hai mere karib aaj bhi

Fursat ka jo har lamha hai
Mujhse bas yeh kehta hai
Aadat teri baaton ki aaj bhi
Aaj bhi

Teri aakhon ne jo dekhe the
Meri aakhon mein wo sapne hain
Sarhad nahi khwabon ki aaj bhi
Tu hai aaj bhi

Track Info

  • Song Name – Fursat Hai Aaj Bhi
  • Singer – Arjun Kanungo
  • Lyrics – Mayur Puri
  • Music – Arjun Kanungo
  • Starring – Sonal Chauhan
  • Song Label – ℗ 2020 Universal Music India/VYRLOriginals
  • Release Date – 24 June, 2020

Music Video