Table of Contents Ham Apne Dil Ka Fasana Song Lyrics |
Hum apne dil ka fasana unhein suna na sake
Lagi hai aag jo
Lagi hai aag jo dil mein use bujha na sake

Teri talash mein dar-dar ki thokarein khaayin

Meri wafa ke kadam phir bhi dagmaga na sake
Lagi hai aag jo
Lagi hai aag jo dil mein use bujha na sake
Hum apne dil ka fasana unhein suna na sake
Zara to soch ke us dil ka haal kya hoga
Haal kya hoga, haal kya hoga
Zara to soch ke us dil ka haal kya hoga
Haal kya hoga
Jo door reh na sake, tere paas aa na sake
Lagi hai aag jo
Lagi hai aag jo dil mein use bujha na sake
Hum apne dil ka fasana unhein suna na sake
Hum unko yaad na karte pe dil ka kya keeje
Pe dil ka kya keeje
Hazaar bhoolna chaha magar bhula na sake
Lagi hai aag jo
Lagi hai aag jo dil mein use bujha na sake
Hum apne dil ka fasana unhein suna na sake
Track Info* |
Track Name | Ham Apne Dil Ka Fasana |
Singer – | |
Music – | Husnlal-Bhagatram |
Lyrics – | J. Nakshab |
Movie – | |
Song Label – | Saregama Music |
Release Date – | 1948 |