Table of Contents
Kahin Door Jab Din Dhal Jaye Lyrics
Kahin door jab din dhal jaaye
Saanjh ki dulhan badan churaaye
Chupke se aaye (x2)
Mere khayalon ke aangan mein
Koyi sapno ke deep jalaaye, deep jalaaye
Kahin door jab din dhal jaaye
Saanjh ki dulhan badan churaaye
Chup ke se aaye
Kabhi yoon hi jab huyin bojhal saansein
Bhar aayin baithe-baithe jab yoon hi aankhein
Kabhi yoon hi jab huyin bojhal saansein
Bhar aayin baithe-baithe jab yoon hi aankhein
Tabhi machal ke, pyaar se chalke
Chuye koyi mujhe par
Nazar na aaye, nazar na aaye
Kahin door jab din dhal jaaye
Saanjh ki dulhan badan churaaye
Chupke se aaye
Kahin to ye dil kabhi mil nahi paatey
Kahin se nikal aayein janmon ke naatey
Kahin to ye dil kabhi mil nahi paatey
Kahin se nikal aayein janmon ke naatey
Thani thi ulajhan, dare apna man
Apna hi hoke sahe dard paraaye, dard paraaye
Kahin door jab din dhal jaaye
Saanjh ki dulhan badan churaaye
Chupke se aaye
Dil jaane mere saare bhed ye gehre
Kho gaye kaise mere sapne sunehre
Dil jaane mere saare bhed ye gehre
Kho gaye kaise mere sapne sunehre
Yeh mere sapne, yahi to hain apne
Mujhse juda na honge
Inke yeh saaye, inke yeh saaye
Kahin door jab din dhal jaaye
Saanjh ki dulhan badan churaaye
Chupke se aaye
Mere khayalon ke aangan mein
Koyi sapno ke deep jalaaye, deep jalaaye
Kahin door jab din dhal jaaye
Saanjh ki dulhan badan churaaye
Chupke se aaye
Track Info
- Song Name – Kahin Door Jab Din Dhal Jaye Lyrics
- Singer – Mukesh
- Lyrics – Yogesh
- Music – R D Burman
- Movie – Anand (1971)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1971