[vc_row][vc_column][vc_video link=”https://youtu.be/gIujRlA1xEY”][vc_column_text]Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Maine jaane kya sun liya
Toone to kuchh kaha nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Main yeh samjha mere dil ki
Koyi hasrat nikal gayi
Main yeh samjha mere dil ki
Koyi hasrat nikal gayi
Toone dekha mujhe aise
Ke tabiyat machal gayi
Warna tere sar ki kasam
Aadmi main bura nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Mere deewanepan ki haye
Be-adab hoon main deewana
Kis kadar tu khafa huyi
Be-adab hoon main deewana
Kis kadar tu khafa huyi
Chhu liya kyon badan tera
Tauba kaisi khata huyi
Saari duniya mein koyi
Mere layak saza nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Chandni raat mein jaise
Rookhe gul pe kiran padi
Chandni raat mein jaise
Rookhe gul pe kiran padi
Be-sabab rooth kar tere
Maathe pe yoon shikan padi
Mere mehboob yeh teri
Berukhi hai adaa nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
Mere deewanepan ki bhi dawa nahi
[/vc_column_text][vc_custom_heading text=”Track Information” font_container=”tag:h4|text_align:left” google_fonts=”font_family:Roboto%3A100%2C100italic%2C300%2C300italic%2Cregular%2Citalic%2C500%2C500italic%2C700%2C700italic%2C900%2C900italic|font_style:700%20bold%20regular%3A700%3Anormal”][dt_vc_list]
- Song Name – Mere Diwanepan Ki Bhi Dawa Nahin
- Singer – Kishore Kumar
- Lyrics – Anand Bakshi
- Music – Laxmikant-Pyarelal
- Movie – Mehboob Ki Mehndi (1970)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1970
[/dt_vc_list][/vc_column][/vc_row]