Unki zulfein unke chehre se hata sakta nahin
Dil ki betaabi kisi soorat chhupa sakta nahin
Kitni dilkash hain mohabbat ki jawan majbooriyan
Saamne manzil hai aur paanv badha sakta nahin
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Yeh naseeb jagmagaate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Kayi baar mil chuki hain
Yeh haseen haseen nigaahein
Kayi baar mil chuki hain
Yeh haseen haseen nigaahein
Wohi beqarariyan hain na mili khushi ki raahein
Mere dil se dil milate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Mujhe kya garaz kisi se hanse phool ya sitare
Mujhe kya garaz kisi se hanse phool ya sitare
Hain meri nazar mein pheeke
Yeh jawan jawan nazaare
Agar aap muskurate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Yeh khushi rahe salamat yunhi jashn ho suhana
Yeh khushi rahe salamat yunhi jashn ho suhana
Jise sun rahi hai duniya mere dil ka hai tarana
Mere sath tum bhi gaate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
Yeh naseeb jagmagaate to kuch aur baat hoti
To kuch aur baat hoti
- Song Name – Meri Zindagi Mein Aate To
- Singer – Mohammed Rafi
- Lyrics – Hasrat Jaipuri
- Music – Shankar-Jaikishan
- Movie – Kanyadaan (1969)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1968
[/dt_vc_list]