Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musht-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na to main kisi ka habeeb hoon
Na to main kisi ka raqeeb hoon
Jo bigad gaya woh naseeb hoon
Jo ujad gaya woh dayaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar mujhse bichhad gaya
Jo chaman fiza mein ujad gaya
Main usi ki fasl-e-bahaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Pai fatiha koyi aaye kyon
Koyi chaar phool chadhaye kyon
Koyi aake shamma jalaye kyon
Main woh beqasi ka majaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musht-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Main kahan rahoon, main kahan basoon
Na yeh mujhse khush, na woh mujhse khush
Main jameen ki peeth ka bojh hoon
Main falak ke dil ka gubaar hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
- Song Name – Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hoon
- Singer – Mohammed Rafi
- Lyrics – Bahadur Shah Zafar
- Music – S.N. Tripathi
- Movie – Lal Qilla (1960)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1960
[/dt_vc_list]