Amar (1954) Bollywood Movie All Songs Lyrics

Na Milta Gam To Barbadi Ke Afsaane Lyrics – Amar (1954)

Na Milta Gam To Barbadi Ke Afsaane Lyrics

Ho tamanna lut gayi phir bhi
Tere dam se mohabbat hai
Mubaaraq gair ko kushiyan
Mujhe gham se mohabbat hai
Na milta gham to barbadi ke afsane kahan jaate
Na milta gham to barbadi ke afsane kahan jaate
Agar duniya chaman hoti to veerane kahan jaate

Chalo achchha hua apno mein koi gair to nikla
Ji koi gair to nikla
Agar hote sabhi apne to begaane kahan jaate
To begaane kahan jaate

Duayein do mohabbat humne mitkar tumko sikhla di
Duayein do mohabbat humne mitkar tumko sikhla di
Mohabbat tumko sikhla di
Na jalte shamma mehfil mein to parwane kahan jaate
To parwane kahan jaate
Agar duniya chaman hoti to veerane kahan jaate

Tumhi ne gham ki daulat di
Bada ehsaan farmaya
Bada ehsaan farmaya
Zamane bhar ke aage
Hath failane kahan jaate
Na milta gham to barbadi ke afsane kahan jaate

Track Info

  • Song Name – Na Milta Gam To Barbadi Ke Afsaane Lyrics
  • Singer – Lata Mangeshkar
  • Lyrics – Shakeel Badayuni
  • Music – Naushad
  • Movie – Amar (1954)
  • Song Label – Saregama Music
  • Release Date – 1954

Music Video