O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Zindagi ko aye humdam
Aa gaya muskurana
O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Mil gaya mujhko aye sanam
Zindagi ka bahana
Do bhatakate raahi aa mile manzil par
Do dilon ki kashti aa lagi saahil par
Muskuraate jaayein ik sang do muqaddar
O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Zindagi ko aye humdam
Aa gaya muskurana
Raat chup sunti hai yeh hansi afsana
Dekhte hain taare bas gaya veerana
Chaand ko sharma de aapka sharmana
O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Mil gaya mujhko aye sanam
Zindagi ka bahana
O.. O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Zindagi ko aye humdam
Aa gaya muskurana
Soonepan mein achaanak koi panchhi bola
Jaag kar sapne se dil kisi ka dola
Raat ki raani ka kisne ghoonghat khola
O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Mil gaya mujhko aye sanam
Zindagi ka bahana
O sanam tere ho gaye hum
Pyaar mein tere kho gaye hum
Zindagi ko aye humdam
Aa gaya muskurana
- Song Name – O Sanam Tere Ho Jayen Hum
- Singer – Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
- Lyrics – Shailendra
- Music – Shankar-Jaikishan
- Movie – Ayee Milan Ki Bela (1964)
- Song label – Saregama Music
- Release Date – 1964
[/dt_vc_list]