अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
अगर यक़ीं नहीं आता तो आज़माए मुझे
वो आइना है तो फिर आइना दिखाए मुझे
अजब चराग़ हूँ दिन रात जलता रहता हूँ
मैं थक गया हूँ हवा से कहो बुझाए मुझे
मैं जिस की आँख का आँसू था उस ने क़द्र न की
बिखर गया हूँ तो अब रेत से उठाए मुझे
बहुत दिनों से मैं इन पत्थरों में पत्थर हूँ
कोई तो आए ज़रा देर को रुलाये मुझे
मैं चाहता हूँ कि तुम ही मुझे इजाज़त दो
तुम्हारी तरह से कोई गले लगाए मुझे
Agar yakeen nahi aata toh ajmaaye mujhe
Wo aaina hai toh phir aaina dikhaye mujhe
Ajab charaag hoon, din-raat jalta rehta hoon
Main thak gaya hoon hawa se kaho bujhaaye mujhe
Main jis ki aankh ka aansu tha us ne kadar na ki
Bikhar gaya hoon toh ab rait se uthaaye mujhe
Bahut dino se main in pattharo mein patthar hoon
Koi toh aaye jara der ko rulaaye mujhe
Main chahta hoon ki tum mujhe ijaazat do
Tumhari tarah se koi gale lagaaye mujhe