Abhi farmaan aaya hai wahan se
Abhi farmaan aaya hai wahan se
Ki hat jaun main apne darmiyan se
Yahan jo hai tanaffus hi mein ghum hai
Parinde ud rahe hai shakh-E-Jaan se
Daricha baaz hai yaadon ka aur main
Hawa sunta hun pedon ki zabaan se
Jamaana tha wo dil ki zindagi ka
Teri furqat ke din laun kahan se
Tha ab tak maarka bhar ka darpesh
Abhi to ghar bhi jaana hai yahan se
Fulan se thi ghazal behtar fulan ki
Fulan ke zakhm achhe the fulan se
Khabar kya dun main shehar-E-raftagan ki
Koi laute bhi shehar-E-raftagan se
Yahi anjaan kya tujh ko hawas tha
Koi puchhe to mir-E-dastaan se
~Jaun Eliya
अभी फ़रमान आया है वहाँ से
अभी फ़रमान आया है वहाँ से
कि हट जाऊँ मैं अपने दरमियाँ से
यहाँ जो है तनफ़्फ़ुस ही में गुम है
परिंदे उड़ रहे हैं शाख़-ए-जाँ से
दरीचा बाज़ है यादों का और मैं
हवा सुनता हूँ पेड़ों की ज़बाँ से
ज़माना था वो दिल की ज़िंदगी का
तिरी फ़ुर्क़त के दिन लाऊँ कहाँ से
था अब तक मा’रका बाहर का दरपेश
अभी तो घर भी जाना है यहाँ से
फुलाँ से थी ग़ज़ल बेहतर फुलाँ की
फुलाँ के ज़ख़्म अच्छे थे फुलाँ से
ख़बर क्या दूँ मैं शहर-ए-रफ़्तगाँ की
कोई लौटे भी शहर-ए-रफ़्तगाँ से
यही अंजाम क्या तुझ को हवस था
कोई पूछे तो मीर-ए-दास्ताँ से
~Jaun Eliya