Table of Contents Sab Pyar Ki Baaten Karte Hai Song Lyrics |
Vafaayen dekh lin patthar jigar zaalim zamane ki
Kasam khaai hai ab humne kisi se dil lagaane ki
Sab pyaar ki baatein karte hain par karna aata pyaar nahin
Hai matlab ki duniya saari yahan koi kisi ka yaar nahin
Kisi ko sachcha pyaar nahin
Sukh mein sab aa-aa kar apne
Rishte-naate hain batalaate
Rishte-naate hain batalaate
Bure dinon mein dekha humne
Aankh bacha kar hain jaate
Aankh bacha kar hain jaate
Thokar kha kar sambhalane waale jeet hai teri haar nahin
Hai matlab ki duniya
Aye bande bhagwan se dar
Aye bande bhagwan se dar
Insaan se mat dar
Muhar lagi hai uski tere
Haq ke daane-daane par
Haq ke daane-daane par
Uski marzi bina tere chubh sakta koi kaar nahin
Hai matlab ki duniya
Track Info* |
Track Name – | Sab Pyar Ki Baaten Karte Hai |
Artist – | |
Lyrics – | Ramesh Gupta |
Music – | Jayanti Joshi |
Movie – | |
Song Label – | Saregama Music |
Release Date – | 1960 |