Shanti Lyrics – Dank Rishu | Sammad, Karun, Kuns, Tarun

Shanti Lyrics Dank Rishu Sammad, Karun, Kuns, Tarun
Shanti Lyrics Dank Rishu Sammad, Karun, Kuns, Tarun

Shanti Lyrics

Intejaar kiya baj gaye chaar
Shuru kiya inqilab, inke khilaaf
Ab toh pehenta hoon gende ka haar
Jhadu ko chhor kyun kare hum saaf
Parda utha, dekh meri aankh
Jalan se nahi jalti ye aag
Mukkhi band rakh, Sar mein thand rakh
Ab dikhaun jannat ka rakshak
Bhatakta raha jaise nadi zanskar
Koi phenkta hai paisa, koi leta udhaar
Ant mein toh sabka hua Daah sanskaar
Aur ant mein toh sab gaye Taboot bazaar

(Maar daala) Gale mein taar
Munh mein dhuwa
Maan li haar, aashman ko chua
Purana samachaar, mujhe chahiye dua
Kya main paaunga is kranti mein shaanti

Kranti toh hogi jab Shanti toh milegi tab
Bura waqt hai rukta kab, ha vai kiski? badhiya sab?
Gold Play toh aagaya par izzat gawa gaya
Controversy kiski aur views kon daba gaya
Saaf na ho Youtube toh hai mere liye paap ye
Mere liye duty toh inke liye shraap hai
Naam sune Rishu toh ye saare darr se kaape
Kick kar deta hoon main balls saare shot M’baap pe
Bachpan se hi chaukidaar, raat ko jaa ke karte kaam
Art koo bechna pashand nahi, lagta nahi hai iska daam
Stream ho jati meri bagair Sutte aur Chivas ke
Youtube scene adhura bin Vaus and Piggas ke
Sachhe rachnakaro ki sankhya hai kam(Kam)
Aache rachnakaaro ki kalpana bas bharam(Bharam)
Content ya jokes, inke kya hai jyada poor
Saare scene pe aag laga de ek akela suar

Qaid meri baatein, lekin jo daali sar khuja ke
Band saari kamro mein ye mujhse bhaage lambi raatein
Ittefaq kadwi yaadein, dil mein chubhte jhoothe waade
Raag saare chhedte ye dukh mijaazi man ke maare
(Maar daala)

HipHop ke form mein kara drop ek aur flop
Mere shawk sunoge toh lagega shock
Pehne maine joote na sock, kya tera khauf
Aaya hoon laut ke maur ke kuwe se
Paseena ponch ke mandir hum pahunch gaye
Sapoot mein lekin mandira khoon mein
Saboot yeh shaksiyat khadi door mein
Tera guroor,
Meri dhool mein tujhe sab bhul gaye
Main rehta asli jaise khushboo is phool mein
(Maar daala) Meri dhool mein tujhe sab bhul gaye
Main rehta asli jaise khushboo is phool mein
-is phool mein
-is phool mein

Rogo ka rog apne shabdon mein baha doon
Jhonko ko rok, sapno ko dil mein jagah doon
Sama loon, suljha doon in maaanjho ko
Ganjo se door tum laango toh mile mera makaan
Daodu main gauru
Par sar kabhi nahi chadhi badu yeh thakaan
Saari ki saari fankaari, zimmedaari insaano ki
Guzrey jamaano ki, sone ki khaano mein
Sone ki khaano mein sach saara lipta-nipta
Dikhta naye daur mein
khauf se bharpoor paise ko maane baap
Saanp jaisi soch kare phir maut bhi kabool

Gale mein taar
Munh mein dhuwa
Maan li haar, aashman ko chua
Purana samachaar, mujhe chahiye dua
Kya main paaunga is kranti-
Gale mein taar
Munh mein dhuwa
Maan li haar, aashman ko chua
Purana samachaar, mujhe chahiye dua
Kya main paaunga is kranti mein shaanti

Track Info

  • Song Name – Shanti Lyrics
  • Artist – Dank Rishu
  • Featuring – Sammad, Karun, Kuns, Tarun
  • Produced by – sammad
  • Mix Mastered by – Udbhav
  • Written by – Dank Rishu, Sammad, Karun, Kuns, Tarun
  • Shot/Directed by – Tarun Kukreja and Pratham Mishra
  • Edited/Visuals by – Tarun Kukreja
  • Starring – Sammad, Karun, Kuns, Tarun, Udbhav, Barf, Sunrvys, Dank Rishu
  • Release Date – 22 Oct, 2020

Music Video