Table of Contents Sochenge Tumhe Pyar Song Lyrics |
Sochenge tumhe pyar kare ke nahi
Sochenge tumhe pyar kare ke nahi
Yeh dil beqaraar kare ke nahi
Khwaabon mein chupaya tumko
Yaadon mein basaya tumko
Khwaabon mein chupaya tumko
Yaadon mein basaya tumko
Miloge humein tum jaanam kahin na kahin
Sochenge tumhe pyar kare ke nahi
Yeh dil beqaraar kare ke nahi
Tum ho khilta mehka sa kawal
Tum ho khilta mehka sa kawal
Hum joh gaayein tum ho woh ghazal
Kamsin bhola sa mukhda
Lagti ho chand ka ik tukda
Hum kitni taareef kare
Dekhke tumko aahein bhare
Tumsa nahi hai koi pyara sanam, pyara sanam
Sochenge tumhe pyar kare ke nahi
Yeh dil beqaraar kare ke nahi
Jis din tumko dekhegi nazar
Jis din tumko dekhegi nazar
Jaane dil pe hoga kya asar
Rakhenge tumko nigaahon mein
Bhar lenge tumhe baahon mein
Zulfon ko hum suljhayenge
Ishq mein duniya bhulayenge
Yeh beqaraari ab toh hogi na kam, hogi na kam
Sochenge tumhe pyar kare ke nahi
Yeh dil beqaraar kare ke nahi
Khwaabon mein chupaya tumko
Yaadon mein basaya tumko
Khwaabon mein chupaya tumko
Yaadon mein basaya tumko
Miloge humein tum jaanam kahin na kahin
Sochenge tumhe pyar kare ke nahi
Yeh dil beqaraar kare ke nahi
Track Info* |
Track Name | Sochenge Tumhe Pyar |
Singer – | |
Lyrics – | Sameer |
Music – | Nadeem-Shravan |
Movie – | Deewana |
Song Label – | Venus |
Release Date – | 1992 |