Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ki dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tujhe bhool jaaun yeh mumkin nahin hai
Kahin bhi rahoon mera dil to yaheen hai
Tujhe bhool jaaun yeh mumkin nahin hai
Kahin bhi rahoon mera dil to yaheen hai
Ghate chaand lekin mujhe gham na hoga
Tera pyaar dil se kabhi kam na hoga
Guzarne ko yeh din guzarte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ki dil banke dil mein dhadakte rahenge
Haseen phool ki zindgani bhi kya hai
Abhi hans raha tha, abhi ro raha hai
Haseen phool ki zindgani bhi kya hai
Abhi hans raha tha, abhi ro raha hai
Jo guzre khushi mein wohi zindagi hai
Nahin to yeh duniya badi besuri hai
Teri dhun mein bante sanwarte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ki dil banke dil mein dhadakte rahenge
Agar mar gaya rooh aaya karegi
Tujhe dekh kar geet gaya karegi
Agar mar gaya rooh aaya karegi
Tujhe dekh kar geet gaya karegi
Mujhe dekh kar tum na aansu bahana
Bas itni guzarish hai tum muskurana
Tere pyaar mein rang bharte rahenge
Ke dil banke dil mein dhadakte rahenge
Tera naam le le ke jeete rahenge
Tera naam le le ke marte rahenge
Tujhe pyaar karte hain karte rahenge
Ki dil banke dil mein dhadakte rahenge
- Song Name – Tujhe Pyar Karte Hain
- Singer – Mohammed Rafi, Suman Kalyanpur
- Lyrics – Hasrat Jaipuri
- Music – Shankar-Jaikishan
- Movie – April Fool (1964)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1964
[/dt_vc_list]