Tum jab aaogi toh khooya hua paogi mujhe
Meri tanhaayi mein khwabo ke siwa kuch bhi nahi
Mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
Mere kamre mein kitaabon ke siva kuch bhi nahin
Safal!
Andhera kamra bas yaadein teri saath
Ghadi ki deewaaro ne chupa ke rakhe mere raaz
Teri yaad mein na kaatne wala main ab haath
Kyunki mar tabhi gaya jab chhoda tha tune saath
Khusboo se tere lipta hoon dekho aaj bhi
Tumse hi karta hoon dil ki baatein aaj bhi
Haan farak bas aaj-kal mein itna hi hai
Kal tu aansu pochti thi, aaj pochta main khud se hi
Baat khud se hi karta main
Teri baatein yaad kar hans leta main
Jitna bhi jo bhi tha wo sab kiya tere naam
Aaj dil mera khaali panna, milta kyun araam
Mujhko bata kyun akela chhod ke gayi tu?
Kyun haath nahi pakda, munh modd ke gayi tu?
Samhala tune keh ke rahegi mere saath
Sameta jo bhi tha wo sab todd ke gayi tu
Aaj dekh tere saamne, bikhar sa gaya hoon
Sabki chehre mein teri parchaayi dhundhta hoon
Thanda hawa chalti, mujhe mahsoos hoti tu
Meri rooh chune ke baad, kyun chhod gayi rooh
Tum jab aaogi toh khooya hua paogi mujhe
Meri tanhaayi mein khwabo ke siwa kuch bhi nahi
Mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
Mere kamre mein kitaabon ke siva kuch bhi nahin
Kaash us din haath chhod ke na jaati tu
Kaash us din bday mera bhool jaati tu
Kaash us din chala jaata main tere peeche peeche
Toh phir aaj tu na hoti aashman mein aur main neeche
Teri khusboo aaj bhi hai meri saanso mein
Tera hansta chehra chap sa gaya aankho mein
Tujh sang dekhi thi zindagi bitaayi maine raaton mein
Par aaj lipta baitha tha akela teri raakh mein
Par dar mat teri yaad ko na bhool jaunga
Main sirf tera hoon aur tera hi reh jaunga
Teri jagah kisi aur ko main dedun
Usse aacha mar ke main tere paas hi aajaunga
Par nahi, abhi dum nahi todna
Tere toote sapno ko mujhko hai jodna
Mumma ko world toor, papa ki lambi si hai gaadi
Tere sapno ko pura karne ki baari aayi
Jiyunga jabtak na tere honge pure sapne
Mera bhi sapna sach karun tere sapne
Aise mat dekh, kyun kar raha itna
Akhir tere apne bhi lage mujhe apne
Tum jab aaogi toh chain se toh main soyunga
Tum jab aaogi toh tere god mein rowunga
Tumse yun toh karni mujhe baatein hazaar
Tum jab aaogi toh tere saath hi chalunga main
Tum jab aaogi toh khooya hua paogi mujhe
Meri tanhaayi mein khwabo ke siwa kuch bhi nahi
Mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhein
Mere kamre mein kitaabon ke siva kuch bhi nahin
In kitaabon ne bada jurm kiya hai mujh par
In mein ek ramz hai jis ramz ka maara hua zehan
In kitaabon ne bada jurm kiya hai mujh par
In mein ek ramz hai jis ramz ka maara hua zehan
In kitaabon ne bada jurm kiya hai mujh par
In mein ek ramz hai, ek ramz hai, ek ramz hai
Jis ramz ka maara hua zehan
Muzhda-E-Ishrat-E-Anjaam nahi pa sakta
SAFAL!
Table of Contents Track Info* |
Track Name – | Tum Jab Aaogi |
Singer – | |
Music – | Safal |
Lyrics – | Safal |
Mix & Master – | Safal & Vishal |
Release Date – | 3 March, 2020 |