{"id":37532,"date":"2023-02-18T13:11:18","date_gmt":"2023-02-18T07:41:18","guid":{"rendered":"https:\/\/snooplyrics.com\/?p=37532"},"modified":"2023-06-12T13:14:14","modified_gmt":"2023-06-12T07:44:14","slug":"glass-half-full-lyrics-talha-anjum-ft-jj47-talhah-yunus","status":"publish","type":"post","link":"https:\/\/snooplyrics.com\/glass-half-full-lyrics-talha-anjum-ft-jj47-talhah-yunus\/","title":{"rendered":"Glass Half Full Lyrics – Talha Anjum | Ft. JJ47 & Talhah Yunus"},"content":{"rendered":"

Glass Half Full Lyrics<\/h3>\n

[Verse 1: JJ47]<\/h4>\n

Bikhrey hue pata nahi Kya kya roz chaley
\nTu hai nahi to phir Henny on the rocks chaley
\nTu gaya tou phir maza hi nahi mehfilo main
\n9mm, Sirf gang talk chaley
\nTujhe pata saath mere log buht chaley
\nJhootay log inkey dil’on main sirf khot chaley
\nOn my own, Zoned out
\nKuch pata he nahi
\nMujhe ghar puhnchati dua warna saath maut chaley
\nDil nadaan phir bhi jaam dhundta hai
\nKyun yeh Sooraj sey mukhatib kya yeh shaam dhundta hai
\nWo roz karey mehnat inaam dhundta hai
\nBade kaam kiye bina bada naam dhundta hai
\nLekin
\nMaza hai he thakaan main
\nYeh lafz baney dard jesay Rehta pareshan mein
\nGulshan ke phool Murjhaney ko puhanchey
\nMein aksar bhool jaata paani daalna guldaan main
\nCheezien rehti nahi dehaan main
\nSmoking too much, Dhuon bhara hai makan main
\nSeedhi tarah bolun karta asaan mein
\nMein badi baatien kar he nahi pata apni shaan main
\nBhooley Apna aap hum
\nAqs dekhney ko Hamien Aainay zaruri hain
\nSab uljha jesi door koi
\nTabhi kehta hun mujhe Line’en zaruri hain
\nLikhney betha tou sirf ghum nikla hai
\nRooh meri qabz kya yeh dum nikla hai
\nMeine jab bhi mein likha, woh hum nikla hai
\nBana Yeh muqaddar jab qalam nikla hai
\nYeh karam nikla hai, Hum batatey phiren
\nWo sun’ney ke shoqeen, Hum gaatey phiren
\nGhum itney hue hum chupatey phiren
\nTum tortey raho, Hum nibhatey phiren<\/p>\n

 <\/p>\n

[Verse 2: Talhah Yunus]<\/h4>\n

Aaj likhenge kitaab phir
\nQalam naraaz kehta aa gayi na yaad phir
\nShaayar bane teri khatir
\nWohi khwaab, wahi jurm, wahi kaatil
\nDuniya se aajiz toh baadal banatay
\nYe taare chamakte hum lehre phelaatay
\nKho chuke apne, apnon ke liye gaatay
\nHar mehfil sajaatay, par andar se aadhay
\nAaj bhi lagay aise jaise mere saath tu
\nKehte mujhe star magar mere liye tou star tu
\nBache na koi aarzu jab khwabon mein shumaar tu
\nYaaro ka yaar apne yaaron ke liye jaan dun
\nSabse chota sabse zyada zimmedaariyan
\nZamana rou padega choro ye kahaniyan
\nAansuon ko khud hi aankhon se chupa liya
\nSamjhein meine khud ko pathar ka bana liya
\nKandhe bhaari itne rakhega koi haath kiyu
\nHum doobay tere peeche kia har girte ko yun haath dun
\nIs kalaa pe hai fakhar magar duniya se naraaz hun
\nNaa samjhe meri baat tou, kiyu lafzon ka mohtaaj hu
\nMein tanha is sehra mein zakham ye gehra khud bharne dein
\nJab loug hi munafik tou chehre se padh lete
\nSeerhi lagate aur unko bhi chadhne dein
\nBasti ujaagar mere sirf guzarne se
\nRahon se waqif tou wapis bikhrane dein
\nLafzo ke taajir hain sauda tou kar lete
\nHip Hop ki khatir hum ulfat mein mar mitay
\nAdab be-naseeb ye
\nAjab sa adeeb mein
\nShayad Khuda ke kareeb mein
\nAlag dikhta iss bheed mein
\nNa raha saaya jiske liye dekhe khwab bade
\nLahu bahaya hai tabhi tou aaj bebaak khade
\nDilon ki zabaan bane
\nSochon ko aazad kare
\nI don’t wanna flow, aaja zindagi ki baat karein
\nSabar bara qadar hoti sabko baad mein
\nSiyahi se jala denge qalam mein itni aag hai
\nMuntazir inn taaro ke jawaab ke
\nJaagu saari raat mein
\nI drink the pain away
\nPray for the better days
\nZindagi ki jail mein
\nI hope that I stay the same, I’m out<\/p>\n

 <\/p>\n

[Verse 3: Talha Anjum]<\/h4>\n

Mere gham mere ghusse pe ab haavi rahein
\nAankhein jaagi rahein soche baaghi rahein
\nWo rahein tou nahi rahin par hum tou hum hi hain na
\nHum tou tere humrahi hum tere humrah hi rahe
\nI fuck with these words ke ye khud hi kuch bol dein
\nYe dill ki tijori ke band raaz khuch khol dein
\nZehan jail bro, Isse na rihayi mili
\nSaara shehar mera gawah, phir bhi na gawahi mili
\nKaghazon ko jo siyahi mili
\nKitne logo ko meri zaat se hausla-afzai mili
\nThank God
\nKhuda bada baadshah
\nWo Khuda mujhe rag-rag se bhi jaanta
\nMeri sohbaton mein baithe hi nahi jealousy (Nai)
\nI hope my brothers live to be everything I could never be
\nAb mein, J or T baithay dhundein dard ki remedy
\nThe bottle’s empty and still it hurts heavily
\nYou let it go, you let it be
\nTou socho ab mein kya karun? (Han)
\nGlass half full ab mein isme kya bharun?
\nUrdu rap mera dill aur mein uski shehrag hoon
\nNazariye badalte hain yahan pe ladke ku baku
\nInko kya khabar mein unke haq mein me kitna behatar hun
\nEk din mein legend dusre din mein unka dushman hun
\nDono soorton mein lena pade mera naam
\nMein dono soorton mein na karun kabhi kalaam
\nI\u2019m on my own shit ye focus kabhi toota nai
\nLife on the edge, I wanna go, par mein kooda nai
\nMere junoon ko jahil samjhe shouk kiyu
\nSab kaan lagayein still nobody to talk too
\nSabse yaadgaar raatein sabse zyada vivid (Yeah)
\nSabse bade ghum hi dete sabse zyada himmat (Facts)
\nSabse bada nahi hu ghar ka par hai bada sabar (Yeah)
\nSab batate meri maa ko mujhpe bada fakhar
\nLike I already did not know (no)
\nKitni dekhi pareshaniyan phir karam aur nawazishein
\nBanawati hum the hi nai, tou chutiye bhi na bane
\nIndustry meri dost nai wo chahay mujhse na mile
\nMere yaaro ka iss sabar silaah mile
\nMein kitna khush kismat
\nGhar aaon wapas maa mile
\nYe rishtey wapas na mile
\nJam-e-ghafeer mein jaa mile
\nYe bheed hamare liye thi aur ab hum iss mein shamil hain
\nSomedays, (Somedays)
\nI shed tears from my peers, somedays
\nI mix whisky with sadness and pain (Yeah)
\nI take risk jo wo kabhi bhi na lein
\nAnd that’s why I’m here (That’s facts)<\/p>\n

Track Info<\/strong><\/h3>\n