Yeh jo chilman hai dushman hai hamari
Yeh jo chilman hai dushman hai hamari
Kitni sharmeeli ho
Kitni sharmeeli dulhan hai hamari
Yeh jo chilman hai
Doosra aur koyi yahan kyun rahe
Doosra aur koyi yahan kyun rahe
Husn aur ishq ke darmiyan kyun rahe
Darmiyan kyun rahe
Yeh yahan kyun rahe
Haan ji haan kyun rahe
Yeh jo anchal hai shikwa hai hamara
Kyun chhupata hai chehra yeh tumhara
Haye yeh jo chilman hai
Kaise deedar aashiq tumhara kare
Kaise deedar aashiq tumhara kare
Rookhe roshan ka kaise nazara kare
Ho nazara kare, ho ishara kare
Haan pukara kare
Yeh jo gesu hain baadal hain kasam se
Kaise bikhre hain gaalon pe sanam ke
Ho yeh jo chilman hai
Rukh se parda zara jo sarakne laga
Rukh se parda zara jo sarakne laga
Uff yeh kambakht dil kyun dhadakne laga
Ho dhadakne laga, haan bhadakne laga
Dum atakne laga
Yeh jo dhadkan hai dushman hai hamari
Kaise dil sambhle uljhan hai hamari
Ho yeh jo chilman hai dushman hai hamari
- Song Name – Ye Jo Chilman Hai
- Singer – Mohammed Rafi
- Lyrics – Anand Bakshi
- Music – Laxmikant-Pyarelal
- Movie – Mehboob Ki Mehndi (1970)
- Song Label – Saregama Music
- Release Date – 1970
[/dt_vc_list]