Sehra sahil jungle basti bagh wo
Shola shola jalta charaag wo
Ho.. parvat paani aandhi ambar aag wo
Shola shola jalta charaag wo
Har kaali raat se ladta hai wo
Jalta hai aur nikharta hai
Aage hi aage badhta hai
Jab tak zinda hai
Kahin par toofaan abhi zinda hai
Jazzbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Wo zinda hai
Bheetar toofaan abhi zinda hai
Jazzbon mein jaan abhi zinda hai
Raaton ke saaye mein hai wo chhupa
Dushman na dekhega kal ki subah
Kahaan se aaya wo kahaan hai jaata
Na mujhko pata hai na tujhko pataa
Haan wo nihattha hi shatru ko karta nirast
Bhes badalta wo jaise ho wastra
Jadse ukhaadega bheetar se maarega
Uska iraada hai Bramha ka antar wo gyaani hai
Hai swaabhimani woi
Tu jaantaa uski kahaani nahi
Zinda hai zinda rahega wo
Jab tak ki marne ki usne hi thaani nahi
Gairat, gussa, chahat aur malaal wo
Ziddi ziddi ziddi khayaal wo
Hai jung bhi hai wo hamla bhi aur jaal wo
Ziddi ziddi ziddi khayaal wo
Sholon ki aankh mein rehta hai
Har sachchi baat wo kehta hai
Laawa sa ragon mein behta hai
Jab tak zinda hai
Bheetar toofaan abhi zinda hai
Jazzbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Wo zinda hai
Bheetar toofaan abhi zinda hai
Jazzbon mein jaan abhi zinda hai
Saagar khamoshi mein bhi
Saagar hi rehta hai
Leharon se kehta hai
Wo zinda hai
Track Info*
Song Name – Zinda Hai
Singer – Sukhwinder Singh
Rapper – Raftaar
Lyrics – Irshad Kamil & Raftaar
Music – Vishal and Shekhar
Song Label – YRF
Release Date – 16 Dec. 2018