Hawayein

Tujhko, main rakh loon wahaan
Jahaan pe kahin
Hai mera yaqeen

Main jo, tera naa hua
Kisi ka nahin
Kisi ka nahin

Le jayein jaane kahan
Hawayein, hawayein
Le jayein tujhe kahan
Hawayein, hawayein
Begaani hai yeh baaghi
Hawayein, hawayein
Le jayein mujhe kahan
Hawayein, hawayein

Le jayein jaane kahaan
Na mujhko khabar
Na tujhko pata

Woh…, Woh…..
Woh…, Woh…..

Banaati hai jo tu
Woh yaadein jaane
Sang mere kab tak chale

Inhi mein to meri
Subah bhi dhalein
Shamein dhalein
Mausam dhalein

Khayalon ka shehar
Tu jaane tere hone se hi aabaad hai
Hawayein haq mein
Wohi hai aate jaate jo tera naam le

Deti hain jo sadayein
Hawayein, hawayein
Na jaane kya batayein
Hawayein, hawayein
Le jayein tujhe kahaan
Hawayein, hawayein
Le jayein mujhe kahaan
Hawayein, hawayein

Le jayein jaane kahaan
Na mujhko khabar
Na tujhko pata

Woh…, Woh…..

Chehra, kyun milta tera
Yun khwabon se mere
Ye kya raaz hai?

Kal bhi, meri na thi tu
Na hogi tu Kal
Meri aaj hai

Teri hai meri saari
Wafayein, wafayein
Mangi hai tere liye
Duayein, duayein
Le jayein tujhe kahaan
Hawayein, hawayein
Le jayein mujhe kahaan
Hawayein, hawayein

Le jayein jaane kahaan
(Hawayein, hawayein)
Le jayein tujhe kahaan
(Hawayein, hawayein)

Le jayein jaane kahaan
(Hawayein, hawayein)
Le jayein tujhe kahaan
(Hawayein, hawayein)

Le jayein jaane kahaan
(Hawayein, hawayein)
Le jayein mujhe kahaan
(Hawayein, hawayein)

Le jayein jaane kahaan
(Hawayein, hawayein)
Le jayein mujhe kahaan
(Hawayein, hawayein)

 

Track Info*

Song Name – Hawayein
Singer – Arijit Singh
Lyrics – Irshad Kamil
Music – Pritam
Movie – Jab Harry Met Sejal
Song Label – Sony Music India
Release Date – 3 Aug, 2017

Heyyyyyy

Lyrics for Everyone!

  • Found the perfect lyrics? Share them with those who’ll appreciate them! Music is for everyone, and sharing is caring.

Help Us Improve!

  • Your feedback is invaluable! Share your thoughts and ideas so we can keep making SnoopLyrics the best place for lyrics lovers.

Recently Released

Weekly Popular