Aarzu Lyrics – Jokhay | Talha Anjum, Boljani, Nabeel Akbar

Released on:

Views:

- Advertisement -

Aarzu Lyrics

[Verse 1: Bol Jani]

Half man, half Cocaine
Young, dumb, broken
Pills i poppin, Yeah, Yea-Yeah
Khaaye bahot dhokhe
But i’m okay, Yeah, Yea-Yeah
Mujhe sone nahi deti ab tanhai yeh
Aab kuch nahi hai pass bas yahi ruswaai hai
Main bada badikhlaq hun kabhi azmaiye
Main kitna mukhlis hun mujhe ye mat bataiye(Woh)
Apni anna mein hi itna magan
Main kar na lun khud ko fana main
Aab dar-badar hi bhatke hum
Tu bada bewafa hai jamaane
Khud jaane wohi likhta hai yeh zindagi ke afsaaney
Mujhe hassad kya hai kisi se ab sikhaya hi nahi mujhe maa ne
Kya kam padti hai duniya dua dene ke liye
Ya mujhe hi bana diya ghum sehne ke liye
Main sochta hun bas yahi baatein khojta hun
Ya phir main kandho par lade bewajah ke bojh sa hun
Yeah, Legend never die(Yeah), hum zinda rahenge marne ke baad bhi
Jamaane se baat ki par kadar na kari kisi ne bhi Art ki
Paisa mohtaazgi toh kiya gaya kaafi nazar-andaaz bhi
Umeed inkqalab ki, ke uthega suraj dhalegi yeh raat bhi, (Yeah)

[Hook: Jokhay]

Saansein phool rahi, baatein bhool rahi
Toote aas maagar manzil meri door nahi
Ye mere khwabon ki tabeeren fizool nahi
Kaam bure phir bhi tode kuch usool nahi
Ke jaan vaar dun hai itni gehri aarzu
Jo kuch kiya, jo kuch diya usi se aaj hun
Tujhko lagi hai jo mashoori ki wo pyash hun
Main sabkuch bataane ke baawjood bhi raaz hun

[Verse 2: Nabeel Akbar]

Raat saari baitha der tak main sochta raha
Itne saal apne aap ko main khojta raha
Mujhe lagta tha sunta hai koi nahi,
Panno mein bharta raha dil ka ye bojh sara
Ab pyaar bheje log mujhe bahot saara
Aab yaar mere bolte sab bahot aala
Saalon diye maine apni kala ko
Hai koi toh wajah tu mujh tak nahi pahunch paa ra
Kam likh raha main ho gaya tha aalsi
Jaan leva mera kalam magar aaj bhi
Baatein karta main khul ke jo raaz ki
Haq sach baat bolun sochta nahi baad ki
Jakham toh mujhe bhi hai kafi mile
Par jagah se hum apni jara na hille
Barshat ke baad nikalta suraj,
Usi ki kiran se toh paudhe khilein
Phir se khade chahe jitni baar gire
Manzil wo paate jo hote sar-phire
Baatein ye buniyaadi fikar nai duniya ki
Ek hi to jaan dubara na mile
Shikwe aur gille, jakhmi ye dil hai
Pyaar ke bhookhe koi apna na mile
Galti yahi ki hum karte bharosa
Ye aankhein khuli khaya apni se dhokha
Koi fayda nai har waqt darne ka
Maut aayegi jab waqt hoga marne ka
Jaan toh jahaan hai ye sab imtihaan
Phat’ta main ghus ke jab waqt hota ladne ka
Waqt bura ho toh hat te khud sab peeche
Nai shaklein to mujhko har roz dikhein
Aache bure saath jin ke har din beete
Saath dene waale daath wohi ginti ke

- Advertisement -

[Hook: Jokhay]

Saansein phool rahi, baatein bhool rahi
Toote aas maagar manzil meri door nahi
Ye mere khwabon ki tabeeren fizool nahi
Kaam bure phir bhi tode kuch usool nahi
Ke jaan vaar dun hai itni gehri aarzu
Jo kuch kiya, jo kuch diya usi se aaj hun
Tujhko lagi hai jo mashoori ki wo pyash hun
Main sabkuch bataane ke baawjood bhi raaz hun

[Verse 3: Talha Anjum]

Murdabaad-Murdabaad!(Yeah)
Galat baat-Galat baat!(Na)
Farak saath sadak-chaap
Sarhad paar parastaar
Kalakaar khaayein khaar(Nai)
Rapper nahi adaakaar(Haa)
Bakk rahe khurafaat(khurafaat)
Munaafa hai munaafa(Yeah)
Meetha tu kunaafa
I’m the real king Mufasa
I’m so charged up Osaka
Tu funny hai bro Muzaaiqa
Alamdaar asli Desi Hip Hop
Tod nahi meri is kala ka
Ready to pull up any time
Beta tera waqt tera ilaaqa(You Know)
Khana badosh hun dushman hun apna
Main bas tera dost hun(Yea-Yeah)
Khooya hun khud hi mein
Aise mujhe apne andar na khoj tu
Zindagi Canvas, Guns Drawn, Dangerous(Yea-Yeah)
I need a Murree strong, Chhitaak hash aur ek Benson
Wo chala hi nahi jise maine kar diya ho cancel(Cancel-Cancel)
Views ki baat nahi kar raha Millions banaaye hai last year
Cash mein outside represent karu south-side
Mushkilein meri zindagi mein bahoot aayi
Dhokhe diye maine thokarein bhi bahoot khaayi
Bahot High-Bahot High-Bahot High

[Hook: Jokhay]

Saansein phool rahi, baatein bhool rahi
Toote aas maagar manzil meri door nahi
Ye mere khwabon ki tabeeren fizool nahi
Kaam bure phir bhi tode kuch usool nahi
Ke jaan vaar dun hai itni gehri aarzu
Jo kuch kiya, jo kuch diya usi se aaj hun
Tujhko lagi hai jo mashoori ki wo pyash hun
Main sabkuch bataane ke baawjood bhi raaz hun

Track Info

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising