Abhi Mashoor Nahi Lyrics – JJ47 | Prod. by Jokhay

Released on:

Views:

- Advertisement -

Abhi Mashoor Nahi Lyrics

[Verse 1]

Bhookh lagi patthar baandha pet pe
Din bhar bhaagu jaise diet heavy-weight pe
Suna kismat khud aati paas sabke
Main bhi soya nahi khada hua kabse gate pe (Woo)
Dekhun, kya lakeere hai na haath me
Sochun, kya wajan meri baat me
Rahe dar bas ab bikharne ka
Jaise gira hua fal baghaat me (Woo)

Tumhe hasrat husan ki
Mujhe hasrat nange badan ki
Rango duniya aur saade kafan ki
Main toh baate karun sabke lagan ki
Kitna toota hua hun jaise koi mareez hun
Phir bhi zinda hun, haan kya cheez hun!
Baat seedhi karo warna mere ispe
Ek main gareeb, upar se badtameez hun(Woo)

Teer nikle kamaan se
Insaan haar jaata kaise insaan se
Roti, kapda, makaan se
Nahi bikti jo jeete yahan shaan se
Paisa paani tha, bahata tha
Aisa kyun? kya iraada tha
Khud se puchta hun main sawaal ye
Kyun jalayi kashti jab tairna ni aata tha?

- Advertisement -

[Chorus]

Do kadam hun chala, Manzil dur nahi
Haan hun thaka hua
Lekin majboor nahi (Majboor nahi)
Kis ko bura kahun, kisi ka kasoor nahi
Abhi thoda waqt hai
Main abhi mashoor nahi, oow

Do kadam hun chala, Manzil dur nahi
Haan hun thaka hua
Lekin majboor nahi (Majboor nahi)
Kis ko bura kahun, kisi ka kasoor nahi
Abhi thoda waqt hai
Main abhi mashoor nahi, oow

[Verse 2]

Chalne lage haath ab aisa kya hai maamla
Mujhse koi kaam le, ya fir koi kaam la
Chahiye usse main lekin sharte bhi uski
Paas aate dare kahe kar doge haamla

Dekho, khwaab bante bikharte
Agar hum darte toh aage na badhte
Nakhoon kamar pe achanak mukar ke
Kaise tumhe lagta hum aisa na karte

Yeah, saddke tumhare
Dube hue ko ni dikhte kinare
Nazare, dekhenge saare
Munh mod lete jab maango sahare

- Advertisement -

Baitha soch me, kya sawaal hai?
Bekhabar hun main, kya haal hai?
Kya ye khel hai?, kya ye jaal hai?
Mujhe lage jaise mera yahi zawal hai

[Chorus]

Do kadam hun chala, Manzil dur nahi
Haan hun thaka hua
Lekin majboor nahi (Majboor nahi)
Kis ko bura kahun, kisi ka kasoor nahi
Abhi thoda waqt hai
Main abhi mashoor nahi, oow

Do kadam hun chala, Manzil dur nahi
Haan hun thaka hua
Lekin majboor nahi (Majboor nahi)
Kis ko bura kahun, kisi ka kasoor nahi
Abhi thoda waqt hai
Main abhi mashoor nahi, oow

Track Info

Music Video

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising