Gulshan Lyrics – Umair Khan | Shareh, JJ47, Talhah Yunus

Released on:

Views:

- Advertisement -

Gulshan Lyrics

[Verse 1: Shareh]
Wou waqt mujhe yaaad, jb sakht thay halaat,
Aur wahi yaar saath, wahi bahar bethe raat,
Kabhi jeet kabhi maat, kabhi gham ki hou ghaant,
Kabhi khushi dete baant, pasand kre meri art saray,
Dushman ka jhund gaye bhaag saray,
Mai roshan kru naam, lagay daagh saray,
Mere sath aag baray, puff maray pass karay,
Bus bakwaas na karay,

Mere sath mere idol, tu betha idle,
chotay ghiss tu kese cheenega mujhse yeh title,
Mai tou liney likhu jese holy houti bible,
Kill’em with the venom, saanp milay mujhe viper,

Times up, puray qoutay
5k bills, kiukay sab sikkay khotay,
Sheerkhua rappers yeh vibe mujhe low day
Yeh naam rakhou yaad, kiukay naam kaam par houtay,

- Advertisement -

Sheher ki hu shaan aur future hu mai Gulshan ka,
OG certify kre tujhse tou puchu na,
Aye baye shaye kre laga mujhe rotu sa,
Kaun kab jaye kiya pata kab lotunga,

Bolay shaitaani par sar par hai halo,
Tum baatain na pelo, tum zada na khelo,
Raaz jo tum baant’tay tou bharwati tum fail hou,
Atay tum zer hou, tou bars tum yeh lelo

Batil ka qatil hu, khushi kr hasil lu,
aalim na faazil hu, game ka mai shatir hu,
Jarh urdu rap tou is par mai ghalib hu,
Gunnahgaar phr bhi roz sajdo mai aa giru

Ghar ka tha bara, sbsay hu ma lara,
On the loose like a killa, got a J jese Dilla,
Mai tou pee k bhi na hila, aur mera na koi zilla,
Meri baatain hai chataaan, aur mai khara jese qilla,

Flow like skepta, du tujhe repta, soch mai tu qaid tha,
Khud pe chotay rehem khaa, wahi parha sehem jaa, red zone mai danger,
Paper canvas, mai jese painter,
Zabaan lambi jese saray hou mendak
Mojo jojo mai karu tera brain cut,
Door phenku tujhe mera aim at Uranus.

- Advertisement -

[Hook: Jokhay]
Faasle na katain,
Hum rahen ya na rahen
Gird humaray khuaabon ke
Chand log humpe hansen

[Verse 2: JJ47]
Main betha hun Gulshan main phool mere log! Or Oos unpe raingti
Sunney waley lafz mere chuntey jesay mere ganey barey Qeemti!
Jo haq hai wo luck nahi! Jo tera hai wohi tujhe Mil k rahe ga
Mai likhta sachai aur itni likhai kabhi krun nahi Ginti

Laga hun hustle main hua jabsey baligh
Khud ki Ghulami bana deti Malik
Zamaney sey das kr! Hum Seekhien hain hus kar
26 umar lakin lagta main chalis
Aur Batien hain Khalis! Tu inki Qadar kr
Milega tujhe bhu sab thora Sabar kr
Asar kr tu apney pe! Itna agar kr
Yeh teri hai dunya! tu achi nazar kr

Dikha dey hamey bhi Kinarey koi
Gardish main nahi Sitarey koi
Main dhondu agar ch tu miltey nahi
Sehehar main bachey nahi hamarey koi
Dikha rey koi aur Jata rahe koi
Bulandi nahi bharti khasarey koi
Ata hai yun to sabhi ka hi waqat
Guzarey koi aur Sawarey koi

Musafir! ab manzil Khuda ke hawaley
Main rozana girta woh Roz hi Sambhaley
Yeh Jado jehad bhi na krti bhalai
Laga k jo bethogey ge Aklon pe Talley
App Beeti kahani hai Lafzon pe bhari tu iskey unwaan sun
Yeh batien hoti Nazil! Main fazil! Laa idhar kaaan! Sun

[Hook: Jokhay]
Faasle na katain,
Hum rahen ya na rahen
Gird humaray khuaabon ke
Chand log humpe hansen

[Verse 3: Talhah Yunus]
Kahanian likhta nahi mai,
Gawahon se puchu k kitna sahi mai,
Likhta raha saalon se ginta mahinay,
Nai parta fark mujhe tu kitna ameer hai,
Aasmaanon pe mehl, zameenon pe jeetay,
Zameenon pe sotay, zameenon se seekhay,
Zameenon ke ho ke , par ye Dunya ye peechay,
Hum seekhay saleekay, tum seekhay tareeqay,
Style mera chaap le, mai Gulshan ka Iqbal jese,
Aa na mere raastay mai, dunya bhi misaal dekhay,
Qalam ka kamaal dekhay tera bura haal dekhay,
Sun mere laal tu bhi chalega wuhi chaaal betay,
Checkmate! Mai hu tera death bed,
Baby teri wet wet, nai hota mai set wet,
launday hote left weft, sun ke meri net worth,
Phelay mere network, Im the one who reps love,

“musāfir ke raste badalte rahe
muqaddar meñ chalnā thā chalte rahe
– Bashir Badr”

Muqaddas tanhaiii se larte rahe,
Hum darte bhi thay par hum darte na thay,
Hum lafzon k taajir, sambhalte na thay,
Wo paise k peeche hath malte rahay
Sitaaray hum jese ubharte rahay
Woh Gaanon ki baarish se jaltay rahay,

Baaten meri gehri tu bhi doobega chal terna seekh,
Murree chor jaani, Carlsberg lao ya Hennessy,
Meri technicalities ye likhun sirf reality,
My melodies are remedy mai laya musicality ,

Damn!
Lemme save you baby I can be your Superman
Bol kon laaya phir Urdu Rap ka…..

[Hook: Jokhay]
Faasle na katain,
Hum rahen ya na rahen
Gird humaray khuaabon ke
Chand log humpe hansen
Imtehaan ki inteha
Khaamiyon ke darmiyaan
Roshni ki jaanib chalen
Ke phir na ho yeh nayi subah

Track Info

Music Video

- Advertisement -

6 COMMENTS

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising