Ye kiska hai chehra jise main
Har ek phool mein dekhta hoon
Ye kiski hai awaaz main jisko
Na sun ke bhi main sun raha hoon
Kaisi ye aahatein aarahi hai?
Kaisi ye khwab dikhla rahi hai?
Mere dil bata kaun hai aaraha?
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai?
Kyun fiza rang chalka rahi hai?
Mere dil bata aaj hona hai kya?
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai?
Gaa rahi hai, gaa rahi hai..
Jahaan tak bhi jaaye nigahein
Barashte hai jaise ujaale
Sazi aaj kyun hai ye raahein?
Khile phool kyun hai niraale?
Khusbooyein kaisi ye beh rahi hai
Dhadkane jaane kya kah rahi hai
Mere dil bata kaun hai aaraha?
Kyun hawa aaj yun gaa rahi hai?
Kyun fiza rang chalka rahi hai?
Mere dil bata aaj hona hai kya?
Track Info*
Song Name – Kyu Hawa
Artist – Rahul Jain
Release Date – 13 Jul, 2019
