Mann Jaage

Released on:

Views:

- Advertisement -
[vc_video link=”https://youtu.be/-PIXR-uWS9U”]

Mann jaage saari raat, mera deewana
Mann maane na yeh baat, ke woh tha begana

Mann jaage saari raat, mera deewana
Mann maane na yeh baat, ke woh tha begana

Hai khud se hi, khafa khafa
Kya chahiye? nahi pata.. baanwara

- Advertisement -

Paya woh na chaaha, chaaha woh na paya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoonde, kya kya dukh na paaya
Par saaya thehra saaya, ke haathon mein na aaya

Koi subah, jo main utthoon
Bujhe agan, mile sukoon, banwara

Gin-ta rehta taare lotu main angare
Khud se ladta firta, yeh jag ko thokar maare
Kheenche-kheenche baithe, baithe-baithe bhaage
Na sunta khud ke aage, yeh pagal ho gaya re
Paya woh na chaaha, chaaha woh na paya
Jiske peeche bhaage, woh saaya hai re saaya
Kya kya raste dhoonde, kya kya dukh na paaya!
Par saaya thehra saaya, ke hathon mein na aaya

Hai zindagi muhaal kyun?
Bana liya yeh haal kyun, bata..
Uljha uljha rehta na sunta na kuchh kehta
Sooni sooni aankhon se reh reh paani behta
Toote saare naate, har main samjhate
Bichhde din aur sathi phir wapas nahi aate
Wapas nahi aate, wapas nahi aate.

Yeh dard kyun? yeh pyaas kyun?
Fira kare, udaas kyun?
Yeh ranj kyun? talash kyun?
Bata… baanwara

- Advertisement -

Thandi aahein bhar ke, jeeta hai mar mar ke
Pyasa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke, jhonke se umar ke
Rait ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke

Thandi aahein bhar ke, jeeta hai mar mar ke
Pyasa reh gaya hai, yeh dariya se guzar ke
Dhoke se nazar ke, jhonke se umar ke
Rait ke mahal sa, deh gaya hai bikhar ke

Aaa aa… aa..
Mann jaage, jaage re
Mann jaage
Jaage jaage jaage baanwara

[vc_custom_heading text=”Track Info*” google_fonts=”font_family:Acme%3Aregular|font_style:400%20regular%3A400%3Anormal”][dt_vc_list]

  • Song Name – Mann Jaage
  • Singer – Shahid Mallya
  • Lyrics – Kumaar
  • Music – Raghav Sachar
  • Movie – Bittoo Boss (2012)
  • Song Label – T-Series
  • Release Date – 12 April, 2012

[/dt_vc_list]

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising