MANTOIYAT

Released on:

Views:

- Advertisement -

(Manto) Sawal ye Hai Ki Jo Chiz Jaisi Hai Usse Waisi Hi Pesh Kyu Na Kiya Jaaye
(Manto) Main Toh Bus Aapni Kahaaniyon Ko Ek Aaina Samjata Hoon Jisme Samaaj Aapne Aapko Dekh Sake

 

 

(Aah) Aayna na dekhna chahe samaaj mera
(Aah) Puche mera kal na dekhte ye aaj mera
(Aah) Khodate kharodate ye meri galatiyan
Main bhi chal diya
Meri soch pe hai raj mera

- Advertisement -

Kaan band aankhe band inke muh pe taale
Inme jor na ki satya pe prakash daale
Bole Sach Jo Uske Chehre pe tezaab daale
Ghume phir khule mein aur jaale jo wo nakaab daale

( Off-Off ) Off Hai, dimag sabka off hai
Zamaana kya kahega iska hi to sabko khauff hai
(Aah) Dabke jeete hai, dabaane Ke ye Aadi Hai
Sex nishedh hai toh itni kyu aabadi hai

Log ye hai aatma Se khokhale
Khud kare to thik baaki galat, doogale

Gaali de doon hindi mein toh bole aisa kyu kiya
F*** kyu hai cool jaane galat kyu hai C******

 

- Advertisement -

 

(Manto) Kya iss tarah ke alfaaz hame sadako pe sunayi nahi padte
Manto eak insaan hai
Man-man-manto eak insaan hai
Manto eak insaan hai
Manto eak insaan hai

Mujh par ilzaam hai
Mujh-Mujh par ilzaam hai
Mujh par ilzaam hai
Manto eak insaan hai

 

Jaat mein ye baat’tein hai,
Baat ke ye kaat’te hai,
Katne waale khaat pe hai,
Inki mauj raat mein hai,
Laal batti wali gaddi, glass inke hath mein hai,
Rajneeti mein hai choor, police inke sath mein hai

Meri baatein tumko sach nahi lagti
Sachi baate tumko yaara pacch nahi sakti
Mujhse naasamaj hai dugani meri age ke
Ek pair kabar mein ye bhuke hai daheej ke

Betiyon ko maarte
Betiya na paalte
Betiyon pe dusro ki ye nazare gaandi daalte
Ladkiya patake unko bandi bolte Hai.
Aur jo raazi na ho unko S**** R***** bolte hai

Baba roz maa pe thos, hath jo uthayega
Bezuban bolne se phele shikh jaayega
Ki mard tab banega jab tu aurate dabaayega
Soch ye rahi toh jaldi desh doob jaayega

 

 

(Manto) Main society ki choli kya utaarunga, joh phele se hi nangi hai, usse kapde pehnana mera kaam nahi hai
(Manto) Main kaali takti par safed chalk istamaal karta hoon, taaki kaali takti aur numaya hojaaye
(Manto) Manto eak insaan hai

 

Maine ghanto padha hai tumko Manto
Tumhare jaisa baanu kare mera maan toh
In bando ko sach nahi dikhta
Sataar saal aazaadi ke sach aaj bhi nahi bikta

 

 

(Manto) Agar aap meri kahaani ko bardasht nahi kar sakti
(Manto) Toh iska matlab ye hai ki zamaana hi naqabil-e-bardasht hai

 

Track Info*

Song Name – MANTOIYAT
Singer – Raftaar & Nawazuddin Siddiqui
Lyrics – Raftaar & Nawazuddin Siddiqui
Music – Raftaar
Movie – Manto
Song Label – Zee Music Company
Release Date – 20 Sept, 2018

- Advertisement -

You might also like

Advertising

Recent released

Advertising