Baba lauta de mohe
Gudiya mori
Angana ka jhoolna bhi
Imli ki daar wali
Muniya mori
Chandi ka painjana bhi
Ik haath mein chingaariyaan
Ik haath mein saaz hai
Hasne ki hai aadat humein
Har gum pe bhi naaz hai
Aaj apne tamaashe pe
Mehfil ko karke rahenge fida
Jab talak na kare
Jism se jaan hogi nahin ye juda
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anzaam hoga hamaara
Jo hai manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
(Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda
(Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaron se raushan
Hua hai noor-e-khuda
Hoo.. Chaar din ki gulaami
Jism ki hai salaami
Rooh toh muddaton se aazad hai
Hohohoo Hum nahi hai yahaan ke
Rehne waale jahan ke
Wo sahar aasmaan mein aabad hai
Haa.. Khilte hi ujadta hai
Milte hi bichadna hai
Apni to kahani hai yeh
Kaagaz ke shikaare mein
Dariya se gujarna hai
Aisi zindagaani hai ye
Zindagaani ka humpe
Jo hai karz karke rahenge adaa
Jab talak na kare
Jism se jaan hogi nahin ye juda
(Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda
(Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda
Anzaam hoga hamaara
Jo hai manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
(Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda
(Manzoor-e-Khuda)
Tuote sitaaron se raushan
Hua hai noor-e-khuda
Baba lauta de mohe
Gudiya mori
Angana ka jhoolna bhi
Imli ki daar wali
Muniya mori
Chandi ka painjana bhi
Track Info*
Song Name – Manzoor-e-Khuda
Singer – Shreya Ghoshal, Sunidhi Chauhan, Sukhwinder Singh
Lyrics – Amitabh Bhattacharya
Music – Ajay-Atul
Movie – Thugs Of Hindostan
Song Label – YRF
Release date – 3 Nov, 2018